twitter

Kaatib-e-taqdeer ne
bakht ki siyaahi se
zindagi ki loh per
haar ka ya jeet ka
jo bhi faisla likha
wo hi ik haqeeqat hai
ghar ki balkoni main
beth ker ghanton tak
sochtay rehnay se
haathon ki lakeeron ko
khojtay rehnay se
wo to mit nahi sakta
maan le taqdeer ko
zid kerni chorr de
haathon ki lakeeron se
bandhay rishtay torr de
kyun k ye lakeerain to
bad gumaan kerti hain
bay eeman kerti hain
haathon ki lakeeron main
kuch bhi to nahi rakha
ye lakeerain to faqt
aarray tirchay naqshay hain
aarray tircchay naqshon main
dar ba dar bhataknay se
dilnasheen khwaabon ki
tabeerain nahi milteen
saaye haath lagte hai
aur kuch nahi milta
kyun k ye lakeerain hain
lakeerain jhoot kehti hain
lakeerain mit bhi sakti hain..!

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: