Fuzool Hai Un Sey Yeh Tamanna, Keh Merey Gham Ki Dawa Karein Gay
Tabahi-e-Dil Pey Jo Tul Gaye Hon, Woh Dil Ki Ta'ameer Kiya Karein Gay
Qadeem Aik Rasm-E-Dosti Hai, Magr Hai Ab Bhi Wohi Ta'alluq
Sitam Sahey Hain, Sitam Sahein Gey, Wafa Key Badley Jafa Karein Gay
Na Zindagi Ko Sukoon Mila Hai, Na Zindagi Ney Sukoon Diya Hai
Kabhi Jo Puhnchey Us Aastaan Tak, Tu Zindagi Ka Gila Karein Gay
Shareek-E-Bazm-E-Hayaat Tum They, To Aarzu'oon Mein Roshni Thee
Tumhari Qurbat Sey Duur Reh Kar, Sukoon Mila Bhi Tu Kiya Karein Gay
Kisi Ko Maaloom Tak Na Hoga, K Hum Ko Thi Aap Sey Muhabbat
Kisi Ko Mahsoos Tak Na Hoga, Kuch Is Tarah Hum Wafa Karein Gay
Mata-E-Qalb-O-Nazr Luta Kar, Uthaaye Mahroomiyun Ke Sadmay
Gham-E-Zamana Teri Hikaayat, Barey Mazay Sey Kaha Karein Gay
Khushi Ki Halki Si Aik Kiran Bhi, Dil-O-Nazr Mein Nahi Hai Zakir
Udaasiyun Per Hi Aasra Hai, Kiya Bhi Shikwa To Kiya Karein Gay
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment