twitter

Bazahir aam lehjay main
Kaha tha main nay jab us se
“Badal lo raasta apna
Juda rahain yaheen karlo
Hamaray chahnay na chahnay se kuch nahi hota
Yehi sach hai keh hum do mukhtalif
Raston kay raahi hai
To phir kyon dil ki manain hum???
Shuru main manta hoon main
Aziyyat dil ko pohanchay gi
Magar phir waqt guzray ga
Sabhi zakhmon ko bhar day ga”
Meray is aam say lehjay pay wo
Ik pal ko chonki thi
Meri aankhon main aankhain daal kar
Hairat se poocha tha
“Yeh sab jo keh rahay ho khud ko samjha bhi pao gay?”
Bohat hi jee kara kar ke
Main us dam muskuraya tha
Bohat khud pay jabr kar ke
Main us say keh yeh paya tha
“Meri tum fikr rehnay do
Sambhal jaoon ga main khud hi
Sabhi zakhmon ko sii loon ga
Bhula kar sari batoon ko
Akaila bhi main jee loon ga”
Buhat hi be yaqeen aakhoon se
Us ne mujh ko dekha
Aur
Bina ik lafz bolay wo gai
Aur phir nahi aai
Aur ab tark-e-taalluq ko
Agarcheh umar beeti hai
Magar is dil pe us ki zaat ka
Jo naqsh qaaim tha
Kabhi dhundla nahi hota
Mujhay mehsoos hota hai ke jaisay
Meray kanoon main
Wo apni bolti aankhoon se
Sargoshi si karti hai
“WO SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WO SAMJHA BHI PAYE HO?”
Friday, December 12, 2008 | 0 comments | Labels:
Meri aankhon main aansu phigalta raha, chand jalta raha
Teri yaadon ka sooraj nikalta raha, chand jalta raha

Koi bistar pe shabnam lapaitay huay khuawb daikha kiya
Koi yaadon mai karwat badalta raha, chand jalta raha

Meri aankhon main campus ki sab sa’atain jagti hain abhi
Nehar per tu meray sath chalta raha, chand jalta raha

Main to yeh janta hoon ke jis shab mujhay chor kar tum gaye
Asmaanon say shola nikalta raha, chand jalta raha

Raat aye to kya kya tamashay huay tujh ko maloom hai?
Teri yaadon ka sooraj ubalta raha, chand jalta raha

Raat bhar meri palkon ki dehleez per khwab girtay rehay
Dil tarapta raha, hath malti reha, chand jalta raha

Yeh december ke jis main karri dhoop bhi meethi lagnay lagay
Tum nahi to december sulagta raha, chand jalta raha

Aaj bhi woh taqaddus bhari raat mehki hui hai Wasi
Main kisi main, koi mujh main dhalta raha, chand jalta raha
| 0 comments | Labels:
Pyar ke samandar main
Har utarney waaley ko
Kashtiyan nahin milteen
Dur dur tak janan
Dhoop ki musaafat hai
Aur kaheen bhi pal bhar ko
Dhoop ke musaafir par
Saaye’baan nahin khultey
Is ajab samandar main
Umr ki reyaazat kay bad
Hum nay yeh jana hai
Jis tarha fizaon main
Urney waley panchi par
Bars ha baras main bhi
Aasman nahin khulta
Hijr-e-beykaraan main bhi
Bhaid, bhaid rehta hai
Raazdan nahin miltey
Baam-o-dar nahin khultey
Pyar ke samandar main
Har utarney waaley ko
Kashtiyan nahin milteen
Aur mil bhi jain to
Baadban nahin khultey
Pyar ke samandar main
Bhaid bhaid rehta hai
| 0 comments | Labels:
Raat baaqi thi abhi jab sar-e-baaleen aa kar
Chaand nay mujh sey kaha - “Jaag sehar aai hai
Jaag is shab jo mey-khwaab tera hissa thi
Jaam kay lab sey teh-e-jaam utar aai hai”
Aks-e-janan ko vida kar ke uthi meri nazar
Shab ke thehrey huay pani ki syah chaadar par
Ja-baja raqs mein aanay lagay chaandi ke bhanwar
Chaand ke haath say taaron ke kanwal gir gir kar
Doobtey, tertey, murjhatey rahey, khiltey rahay
Raat aur subh bohat dair galay miltay rahay

Sehen-e-zindaan main rafeeqon kay sunehray chehray
Sath-e-zulmat say damaktay huay ubhray kam kam
Neend ki aus nay in chehron say dho dala tha
Dais ka dard, firaq e rukh e mahboob ka gham

Dur naubat hui, phirnay lagay bezaar qadam
Zard faaqon kay sataey huay pehray walay
Ehl e zindaan kay ghazabnaak, kharoshan nalay
Jin ki bahon main phira kertay hain baahain dalay

Lazzat e khwab say makhmoor hawain jageen
Jail ki zeher bhari chor sadaein jageen
Dur darwaza khula koi, koi bund hua
Dur machli ki zanjeer, machal ke roi
Dur utra kisi taalay kay jigar main khanjar

Sar pataknay laga reh reh kay dareecha koi
Goya phir khwab say bedaar huay dushman e jaan
Sang o faulad say dhaalay huay jinnat e giraan
Jin kay chungal main shab o roz hain faryaad kunan
Meray bekaar shab o roz ki nazuk paryaan
Apnay shehpur ki raah dekh rahay hain yeh aseer
Jis kay tarkash main hain umeed kay jaltay huay teer
| 0 comments | Labels:


Kabhi yun jo ho kisi din agar
Kabhi tu mujhey sare-e-raah miley
Mein hazaar lamhon ko khainch kar
Yeh jo chalta waqt hai baandh dun

Yeh jo gardishen hein zameen ki
Usi ik lamhey pe ruki rahain

Mein taka karun tujhey jazb sey
Yunhi pyar sey yunhi ishq sey
Teri her adaa ko samait luun
Mein hisaar-e-jaan mein sajaa rakhun
Na tu keh sakey , na mein keh sakun
Tu jo paas ho to mein jee sakun
Tu jo door ho na jiya karoon


Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey humsafar tu jo na miley
Mein hazaar dharkanon ko khainch kar
Ye jo chalta dil hai baandh dun

Ye jo silsiley hein meri saans key
Teri doori mein hi haar dun
Tu jo paas ho to mein jee sakun
Tu jo door ho , na jiya karun

Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey hum safar tu jo na miley…!

| 0 comments | Labels: