Hum chahtay kuch aur thay lekin hua kuch aur hai
Maloom hota hai muqaddar main likha kuch aur hai
Shikwa mera mansha na tha, tumhain shayad dhoka hua
Hum nay kaha kuch aur tha, tum nay suna kuch aur hai
Ab yeh hai dunya ki fiza, zahir juda, batin juda
Dil chahta kuch aur hai, lab pe dua kuch aur hai
Hai ehl-e-dil ki zindagi ik mas’ala aqdaar ka
Rasm-e-jahan kuch aur hai, farz-e-wafa kuch aur hai
Hai zindagi manzoor to zehnon main wus’at chahye
Kul tuk fiza kuch aur thi aur ab fiza kuch aur hai
Manzil to kuch aisi nahin, pana jisay dushwar ho
Lekin zroorat jis ki hai woh hosla kuch aur hai
Mosoof say milna koi aasaan nahin hai dosto!
Rehtay kaheen woh aur hain, un ka pata kuch aur hai
Ab hai mizaj-e-ishq ka rujhan bhi kuch mukhtalif
Aur husn ka mayaar bhi shayad naya kuch aur hai
Un ka amal yaksaan sahi mansab main lekin farq hai
Dast-e-gada kuch aur hai, dast-e-dua kuch aur hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment