twitter

Kitney mousam sargardaan they mujh sey hath milaney main
Main ney shayed dair kar di khud sey bahar aaney main

Ik nighah ka san’nata hai ik aawaz ka banjar pan
Main kitna tanha betha hoon qurbat kai veeraney main

Bistar sey karwat ka rishta toot gaya ik yaad kai sath
Khwab sarhaney sey uth betha takiye ko sarkaney main

Aaj uss phool ki khooshboo mujh main paiham shour machati hai
Jis ney be had ujlat barti khilney aur mujrjhaney main

Baat bananey wali ratein rang nikharney waley din
Kin rastoun par chor aaya main umr ka sath nibhaney main

Aik malal ki gard sametey main ney khud ko paar kia
Kaisey kaisey wasl guzarey hijr ka zakhm chhupaney main

Jitney dukh they jitni umeedein, sab sey brabar kaam lia
Main ney apney ainda ki ik tasweer bananey main

Aik wazahat kay lamhey main mujh par ye aehwaal khula
Kitni mushkil paish aati hai apna haal bataney main

Pehley dil ko aas dila kar beparwah ho jata tha
Ab to Azm bikhar jata hoon main khood ko behlaney main

Friday, December 21, 2007 | 1 comments | Labels:

1 comments:

  1. Anonymous
    December 25, 2007 at 10:38 PM

    bohat aala