twitter

To kia ho ga?
Yehi ho ga kh tum mujh say bichar jao gi.
Jaisay rung say khusboo,
Badan say doar saansoun ki,
Garift-e-shaam say, naraz sooraj ki kiran aik damm bichar jaaiy.
Keh jaisay raat kay pichlay peher
Khuabeeda galiyoon,
Neem khuabeeda gharon may zal-zala aaiy,
To ek basti ujjar jaaiy!
Keh jaisay dhoop kay sehraa main..
Tashna lab, bathak'tay bhooltay bay-gharr parindon..
Sakht-jaan paiRon, bagoolon kay bhanvar main...
Apni chaaon baant'ta baadal, nucher jaiy!

To kia ho ga?

Yehi ho ga keh main tum say juda ho ker ..
Kaheen taqseem ho jaon ga.
Kai lamhon main bikher jaon ga.
Tanhai kay undhay ghaar ki teh main utter jaon ga.
Tum say rooth ker, khud say khufa ho ker!!

To kia ho ga?

Yehi ho ga ......
Na koi zal-zala hi aaiy ga.
Koi aankh nam ho gi,na sannata ...
Bichay ga shaher ki galion main.
Zulfain khol ker roay gi tanhai...
Na shaher dil figaraan main koi mehshar bapa ho ga_!

To kia ho ga?

Tumaharay saath ..
Apnay rung hon gay,
Roshni ho gi!!
Sitaray baant'tay khabon ka ....
Apna sil-sila ho ga!
Magar socho......,
Kisi tanha safar main..
Jab mairi awaaz kay bay-rabt rishton say..,
Tumahara saamna ho ga!

To kia ho ga??

Friday, December 21, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: