Woh tabah haal, woh sar phirey bara naam ishq mein kar gaye
Teri justuju mein jo kho gaye, teri aarzoo mein jo mar gaye
Hai ravish ravish mein shaguftagi, kahin tazgi, kahin naghmagi
Ye chaman se kiska guzar hua ke tamaam phool nikhar gaye
Sab giraniyaan tere saath theen, teri mehrbaniyaan saath theen
Teri aarzoo mein jahan rahey, teri justuju mein jidhar gaye
Kahein kis tarah se ye waqia, bara dukh bhara hai ye hadsa
Jinhein ham samajhte thay aashna, woh nazar chura ke guzar gaye
Rahey sahilon pe zaheer ham, kabhi iss tarah, kabhi uss taraf
Jo talash-e-zaat mein magan thay, woh bhanwar mein kaise utar gaye
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment