Roshni Ki Nagri Mein...
Rang o Bu Ki Basti Mein...
Subh Ki Kham'shi Mein..
Aik Raahdaari Kay...
Akhri Kinaray Takk...
Chaap Koi Qadmon Ki..
Aik Tang Kamray Kay...
Neem Wa Kiwaro Parr...
Ik Shararti Dastak...
Ik Khilkhilahat Si...
"Kya Mien Ander Aa Jaoun?"...
Ik Thakan Bhara Lehja...
"Aaeyn Kaam Tha Koi?"
Zindagi Say Tabinda...
Ujla Ujla Ik Chehra...
Phool Kuch Tar o Taaza,
Chand Batien Rasmi Si...
Roz Marra Kay Jumlay..
+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-
Roshni Ki Nagri Mein ..
Lambi Rahdaari Kay ...
Tang o Taar Kamray mein...
Aaj Bhi Kham'shi Thi...
Rang o Bu Ki Basti Mein...
Uss Ka Akhri Din Tha...!...
Phir Dar e Malamat Par..
Aik Naqrai Dastak...
Uss Nay Aaj Bhi Apnay..
Qehqahon Ki Khusbu Mein..
Bheegay Bheegay Phooloun Ka..
Aik Taza Guldasta...
Meri Maiz Par Rakha...
Sabz Sabz Patton Mein...
Muskuratay Jatay Thay...
Phool Saray Rangon Kay..
Rang Sabb Umangon Kay...
Dair Takk Hui Batien...
Gird O Paish Par Taari...
Aaj Kuch Udasi Thi...
Waqat Ki Rawani Mein..
Yeh Morr Bhi Aana Tha..
Uss Nay Inn Fizaoun Ko,
Youn Bhi Chorr Jana Tha..
Jaatay Jaatay Takeedan..
Uss Nay Yeh Hidayat Di...
"Khirkiyaan Khuli Rakhna.. Phool Sans Laitay Hain"
+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-+-
Roshni Ki Nagri Mein..
Abhi Bhi Hay Wohi Sabb Kuch...
Abb Bhi Uss Kay PaiRon Mein...
Subh Chehchahati Hay...
Abb Bhi Uss Kay Phooloun Mein..
Shaam Gungunati Hay...
Abb Bhi Uss Kay Sabzay Parr
Raat Raqs Karti Hay...
Loag Aatay Jaatya Hain..
Hanstay Muskuratay Hain...
Lekin Abb Nahi Aati...
Dil KI Rahdaari Parr...
Chaap Koi Kadmon Ki...
Abb Na Koi Dastak Hay...
Rooh Kay Kiwaro Parr...
Abb Na Khilkhilahat Hay...
Habs Kay Jazeeray Kay...
Akhri Kinaray Parr...
Aik Aur Zamanay Say...
Mein Nay Taaza Phooloun Ko..
Paas Say Nahi Daikha...
Lekin, Aik Jumla Hay,
Jiss Mein Abb Bhi Hiddat Hay...
Shama Bann Kay Jo, Abb Takk
Taaq e Jaan Mein Roshan Hay...
Bay Jehat Suffar Mein Jo,
Raasta Sujhata Hay...
Dard Kay Bhanwar Mein Jo,
Hosla Barhata Hay...
Kaam Khatam Karnay Mein
Haath Jo Bataata Hay...
Rozz Subh, Kamray Mein...
Meray Aanay Say Pehlay,
Phool Ban Kay Aata Hay...
Dopehar Ki Sarhad Takk..
Maiz Par Mehakta Hay...
"Khirkiyaan Khuli Rakhna -- Phool Saans Laitay Hain"
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment