twitter

Kisi ki bewafai baa'is-e-hairat nahin hoti
Zara sa dil to dukhta hai magar shidat nahin hoti

Bohot khud ko jalata hoon ye barson ki riazat hai
Meray andar ki lekin door ye zulmat nahin hoti

Ye dukh hai keh kisi ne bhi hamin dil say nahin chaha
Zara sa piyar mil jata to yeh halat nahin hoti

Zamin-o-aasmaan main ik ta'luq to hi sadyoon se
Magar peda kahin bhi rabt ki soorat nahin hoti

Ajab hi falsafa hai yeh ameeri aur ghareebi ka
ke umrain sarf ho jati hain kam ghurbat nahin hoti

Bohat se khoob chehray hain bohat si dilruba nazrain
Teray honay say hoti thi jo kefi'yat nahin hoti

Hawala jab talak tera na aa jaye kahin in main
Meray sheron main peda tab talak jiddat nahin hoti

Teray gumnaam mer janay main Mohsin kya buraie hai
Keh her insaan ki qismat main to shohrat nahin hoti

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: