twitter

Woh Waqt Meri Jaan Bohut Door Nahi Hey
Jab Dard Sey Ruk Jyen Gi Sab Zeast Ki Ratain
Aur Had Sey Guzar Jye Ga Andoh Nihani
Thak Jyen Gi Tarsi Hui Nakam Nigahain
Chin Jyen Gey Mujh Sey Merey Aansoo Meri Aanhain
Chin Jye Gi Mujh Sey Meri Beykar Jawani
Shayad Meri Ulfat Ko Bohut Yaad Karo Gi
Apney Dil-E-Masoom Ko Nashad Karo Gi
Aao Gi Meri Gor Pey Tum Ashk Bahaney
Nokhez Baharon Key Haseen Phool Charhaney
Shayad Meri Turbat Ko Bhi Thukra Ker Chalo Gi
Shayad Meri Bey-Sood Wafaon Pey Hanso Gi
Is Waza Karam Ka Bhi Tumhain Paas Na Ho Ga
Lekin Dil-Nakam Ko Ehsas Na Ho Ga
Al-Qisa Mal Gham-E-Ulfat Pey Hanso Tum
Ya Ashk Bahati Ruho, Faryad Karo Tum
Maazi Pey Nadamat Ho Tumhain Ya Keh Musarat
Khamosh Para Soye Ga Damandah Ulfat

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: