Gum'shuda Lamhaat Ka Kuch Khoj Paaya He Nahin
Zindagi Ki Girti Dewaro'n Ka Saaya He Nahin
Tishna Faryaad Hain Lab Aur Aankhain Khushk Hain
Kion Ke Dil Per Aansu'on Ka Abrr Chhaya He Nahin
Zindagi Ko Lamha Lamha Apni Palkon Se Chuna
Koi Sangraiza Teray Koochay Ka Paaya He Nahin
Hum Ne Aankhain Bund He Rakhee'n Tasavvur Main Teray
Aur Uss Shab Hum Ko Koi Khuaab Aaya He Nahin
Her Qadam Per Khaar Paye, Paon Zakhmi Ho Gaye
Phir Bhi Koi Raasta Qadmon Ko Bhaaya He Nahin
Umrr Kuch Aisi Guzaari Jese Khuaabon Ka Safar
Aur Safar Aisa Ke Raah Main, Koi Saaya He Nahin
Chund Lamho'n Ki Enaayat Hum Ne Lauta Di Unhain
Lub Pe Bakhshish Ka Tabassum Hum Ko Bhaaya He Nahin
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment