twitter

Sakhawat ka namood-afrooz manzar he nahi aaya
Sakhi bethay rahay koi gadagar he nahi aaya


Ye socha tha teri khaatir koi moti nikaloon ga
Main jis rastey main tha us main samandar he nahi aaya


Pehen kar aainay phirti rehi dewangi apni
Tamanna thi bohat jis ki wo pather he nahi aaya


Bharee bailain, jharay pat’tey, lagay jaalay dareechon per
Makeen aisaa gaya ghar se palat kar he nahi aaya


Chamak jis ki bula laiti uqaabon ko nashay’mun se
Fizaaon main koi aisa kabooter he nahi aaya


Dafenoon ki tarha dil main khazanay rah gaye saaray
Samandar kia karay koi shana’war he nahi aaya


Diya he jab nahi ho ga hawa kis ko bhuja’ey gi
Charaag-e-rah main ab kay jala ker he nahi aa’ya

Monday, December 17, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: