twitter

Palat ke dekhna chaho to nafraton se udhar
Dinon ki raakh pe raaton ki yukh hatheli per
Hawa ke nachtay girdaab ki tahon main kaheen
Bujha hua koi lamha, kisi charag ka daagh
Nazar paray to samajhna keh main bhi zinda hoon
Keh main bhi zinda hoon apnay ujaar dil ki tarah
Ujaar dil keh jahan aaj bhi tumharay baghair
Her aik shaam dharaktay hain khwahishon ki kiwaar
Her aik raat bikharti hai aarzu ki dhanak
Her aik subh dehektay hain zakhm zakhm gulab
Ujaah dil keh jahan aaj bhi tumharay baghair
Her aik pal meri aankhon main dhul ke dhalta hai
Tapti rut ki tapish se jism pighalta hai
Ujaar dil keh jahan doobta hua suraj
Jabeen e waqt pe likhta hai dooriyon ka payam
Palat ke dekhna chaho to nafraton se udhar
Pas e ghubar darakhshaan hai kab se aik hi naam
Wo naam loh e jahan per ubhar ke bolta naam
Nazar paray to samajhna keh tum ho yaad mujhay
Friday, September 14, 2012 | 1 comments | Labels:
Main ne kab yeh socha tha
Zindagi ki rahon se faaslay baray hon gay
Tujh se milna chahoon to
Aaj meri rahon main
Rastay kharay hon gay

Main ne kab yeh socha tha
Teray saaye se baher
Dhoop main jalan ho gee
Rait main chubhan ho gee
Dard bhi karray hon gay

Main ne kab yeh socha tha
Meray chahnay walay dur bus rahay hon gay
Aur main faqat apnay
Haath ki lakeeron ko yunhi tak raha hon ga
Meray chahnay walay
Mujh per hans rahay hon gay

Main ne kab yeh socha tha
Zindagi ke dhokay main umr jab bita doonga
Khud ko jab mita doon ga
Hijr yeh sada day ga
Bay basi ki sanson main
Zindagi nahi rehti
Waqt ke samandar se laakh khwahishain chun lo
Bay basi ki muthi main rait bhi nahi rehti

Aaj main ne socha hai
Aaj main ne jana hai
Main ne kab yeh socha tha
Zindagi ki rahon se faaslay baray hon gay
Tujh se milna chahoon to
Aaj meri rahon main
Rastay kharay hon gay
| 1 comments | Labels:
Raat ki kokh main awara phiro
Khwab gino
Ishq ki chot se darmaanda to thay hi dil o jaan
Saakh ki rakh ke hathon main udasi ke siwa
Kuch bhi na tha
Be sabab aaina bardaar khayalaat sulag uthtay hain
Sheher main dur talak phail chuki hai khushbu
Raat aur rait ke maa bain jo aik kashmakash e zaat ki bechaini thi
Ehtaraman teray bazar main lay aaya hoon
Baichtay rehtay ho tum to her shay
Apni khushiyan, to alam auron ke
Bant’tay rehtay ho gham auron ke
Hum ne aik raat ki khwahish main kai din khoay
Sham e gham beet chali thi lekin hum ne
Janay na diya, rok liya barh ke usay
Hum teri yaad main khush bethay thay
Thaam ke behtay huay ashkon ko
Aa gya yunhi achanak koi
Apnay daman main liye zard udasi ki thakan
Raah takti hui weerani bhi rehti hai yaheen
Meray is ghar ke sid’haaye huay darwazay main
Yeh jo darwazay hain, sab jaan liya kertay hain
Kon aaye ga yahan,Kon nahi aaye ga
Teergi ke liye mashroot nahi hai sooraj
Teergi noor main ho sakti hai
Teergi aag main ho sakti hai
Teergi bhaag main ho sakti hai
Raat ke pichlay peher aati hai sooraj ki tarah
Teray bichray huay lamhon ki sada
Koi roi hui tanhai hai kamray main meray
Meray khwabon ki nigahon main chubhoti hui ghum
Jis tarah rait say aaluda hawa
Urr kay aankhon main paray aur shikasta ker jaey.

Farhat Abbas Shah
| 0 comments | Labels:
Shikasta khwab-o-shikasta pa hun mujhe duaon mein yaad rakhna
Mein aakhri jang ler raha hun mujhey duaon mein yaad rakhna


Hawaein pegham day gai hein keh mujh ko darya bula raha hai
Mein baat sari samajh gya hun mujhey duaon mein yad rakhna


Na janay koofay ki kya khabar ho, na janay kis dasht main basar ho
Main phir Madiney se ja raha hoon, mujhay duaon main yad rakhna

Mujhay azeezan-e-man, mohabbat ka koi bhi tajarba nahin hai
Main is safar main nya nya hoon, mujhay duaon main yad rakhna

Mujhey kisi say bhalai ki ab koi tawaqqo' nahin hai Tabish

Mein aadatan sab se keh raha hun mujhe duaon mein yad rakhna
Tuesday, September 11, 2012 | 0 comments | Labels:
Kissay maloom
Kon is raaz ki sadiyon purani kefiyat say aashna hai
Yeh meray charon taraf kyun ik sakoot e bay sada hai
Main kahoon kis say
Meri ujri hui aankhon kay khali rozanon say us taraf kya hai
Khalaa hai ya sitaray phainkti andhi hawa hai
Janta hai kon?
Kis per khul saka hai?
Jism kay khali khandar main
Kon ab tak bas raha hai?

Tum mujhay daikho
Main apnay aap say darta hoon shab ko
Jab andhaira bolta hai,
Dil ka sannata purani daastanon say attay bhaidon ki girhain kholta hai!
Jab lahu ki aag main lat-pat kiwaaron say
Ulajhti hain meri cheekhain
Koi sunta nahi mujh ko!
Bikhartay toot'tay khwabon main jab taqseem hota hoon
Koi chunta nahi mujh ko!

To aisa hai keh tum apni mehekti neend se khailo
Na dukh jhailo
Meri tanhai kay asraar mat poocho
Kaheen aisa na ho tum bhi
Khud apnay aap ko ganwa baitho
Meri khwahish aur apnay darmiyan
Bhaidon bhari deewar rehnay do
Mujhay kuch din
Meri ujri hui aankhon kay khali rozanon say us taraf
Tareek lamhon kay bhanwar main bas yun hi baydaar rehnay do
Mujhay sadiyon purani dastaanon ki tarah
Andhi hawa kay saath
Pur asrar rehnay do.
| 0 comments | Labels:
Tu kahan chali gai thi
Tera beqarar Insha
Teri justoju main hairaan
Teri yaad main sulagta
Kabhi bastiyon banon main
Kabhi soo e koh o sehra
Kabhi shorishon main khoya
Kabhi be kasana o tanha
Liye deed ki tamanna
Bana aarzoo sarapa
Tujhay her jagah pukara
Tujhay dhoond dhoond hara
Tu keh rooh e zindagi thi
Tu kahan chali gai thi

Meri hairaton ka Roma
Meri hasraton ki Dilli
Meri wehshaton ka sehra
Mera bald ye Karachi
Mujhay or kaun janay
Yehi day to day gawahi
Keh haseen sooraton se
Yahan her gali bhari thi
Magar aik yeh dewana
Tera wehshi e yagana
Jisay zidnagi gawara
Keh hai peet ka bahana
Kabhi chor ke gya hai
Tera aastan purana
Jahan awwal e jawani
Sar e mehfil e shabana
Kabhi tu usay mili thi
Tu kahan chali gai thi

Kabhi sawanon se poocho
Kabhi phaganon se poocho
Tha jo haal mausamon ka
Tha jo rung wehshaton ka
Kabhi yaas ke jaloo main
Kabhi aas ke jaloo main
Na woh mehfil e shabana
Na kaheen ka aana jana

Paray saat sagaron kay
Jahan log hain anokhay
Hamain jee say yun utara
Hamain yaad se pisara
Yahan laut ke bhi jani
Na milan hua gawara
Yeh jo mah o saal guzray
Ba ajeeb haal guzray

Tujhay yaad to dilaain
Tujhay yaad bhi to aain
Kabhi ehed jo kiye thay
Hamain qaul jo diye thay
Kabhi kamptay labon se
Kabhi ashk ki zuban main
Kisi ganj e gulistan main
kisi koo e rahrawan main
Kisi dost ke makan main

Teri zindagi salamat
Magar aik roz jani
Tera saath chor day gee
Teri bay aman jawani
Tera roop cheen lay gee
Mah o saal ki garani
Teray gaysuon ki chandi
Ba zuban e bay zubani
Jo sunaey gee kahani
Dhali sham e zindagani
To yeh bewafa zamana
Teray jee pe baar ho ga
Na dilon ki qismaton per
Tujhay ikhtayar ho ga
Na jawan mehfilon main
Tera intezar ho ga
Na koi wafa ka khwahan
Na gila guzaar ho ga

Magar aik yeh deewana
Yeh purana peet rogi
Tere naam pay bana hai
Jo koi faqeer jogi
Tujhe dhoondta milay ga
Tujhay justuju jo ho gee

Kabhi bastiyon banon main
Kabhi soo e koh o sehra
Teri justoju main hairaan
Teri yaad main sulagta
Yunhi shorishon main khoya
Yunhi be kasa o tanha
Gham e aashqi nibhata
Ya udaas geet gata
Meri shaairi ki rani
Meri hasil e jawani
Meri jaan e zindagani
Tu kahan chai gai thi
Tu kahan chali gai thi

Ibn-e-Insha
| 0 comments | Labels:
Mujhay tum se muhabbat ho gai thi
Keh tum apnay akelay pan ka dukh lay ker
Meray rastay main aye thay
Tumhari aankh say tanhayi ka azar behta tha
To main ne tum ko un chehron ki qurbat baksh di
Aisay manazir tum pay roshan ker diye
Jin per basarat naaz kernay kay bahanay dhoondti hai
Tumhari guft o gu mayoos sannaton ka jungle thi
So main ne tumko aisi mehfilon ki awwaleen saf main bithaya
Aisay logon say milwaya
Jahan hoonton ki junbish naujawan qison main dhalti hai
Qehqahon ki rasm chalti hai
Tumhain apni sama’at say bhi shikwa tha
Keh tum ne naghmagi kay din nahi dekhay
Harf ko awaz kay pehlu main khwabeeda nahi paya
So main bhi gungunati subh ki manind lehjoon ko
Tumharay zoaq ki mehroom khilwaton main bula laya
Kai ras gholti shamain
Tumhari rooh main baydaar ker daleen
Magar hona wohi tha
Magar hona wohi tha
Jo ta’lluq jornay walon ka dayreena muqaddar hai
Guzishta raat tum ne mujh ko baymasraf samajh ker
Apnay Hangamon ki janib hi nazar rakhi
Lehaza ab ijazat do
Meray rastay ki janib ghor say dekho
Wo dekho ek dermaanda musafir
Meri qurbat ke liye baychain lagta hai
Tum uski aankh say tanhai ka aazar behta dekh saktay ho
Aur us ki guftogu mayoos sannaton ka jungle hai
Usay apni sama’at say bhi shikwa hai
Mujhay us say muhabbat ho gai hai

Azm Behzad
| 0 comments | Labels: