twitter

YuN maatmi sey libaas meiN koi aah-o-fughaaN hai aaj bhi
Jesey chahsm-e-ter meiN khaab koi pareshaaN hai aaj bhi

MeiN zindagi ki raah-guzar pe dar-badar hooN is liye
Ke mohabbatoN ke shehar meiN dil be'makaaN hai aaj bhi

Teri aarzu hai bohat magar meri pohaNch nahi hai is qadar
Meri khaahishoN ke waastey tu aasmaaN hai aaj bhi

MaiN tauheed ke har hisaab sey wesey to musalmaan hooN
Par tujhey poojney ki baat hey, to dil be'imaaN hai aaj bhi

Teri anjuman tera har karam, teri chahateiN to chhin gaeeN
Magar dard jo mera naseeb bana wo meharbaaN hai aaj bhi

Teri azyatoN ka sawaal hey to mujhey kal bhi zabt pe naaz tha
Tujhey kosney ki baat hey to dil be'zubaaN hai aaj bhi

Kabi dard had sey baRha bhi to meiN teri had sey baRha nahi
Meri to saaNs ki tasbeeyoN meiN ik tu hi rawaaN hai aaj bhi

So baadloN ke silsiley meri chatt pe baras kar chaley gaey
Par jala jala dhuwaaN dhuwaaN mera aashyaaN hai aaj bhi

Mujhey kal miley they kuch gulaab jo terey liye ye keh gaey
Ke terey intizar meiN sog'waar gulshan ka samaaN hai aaj bhi

Monday, December 24, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: