twitter

Khwaab ab husn-e-tasawur ke ufaq se hain paray
Dil ke ek jazba-e-ma’soom ne dekhay thay jo khawaab
Aur tabeeron ke taptay huay sehraaon mein
Tishnagi aabla-paa, shola-bakaf mauj-e-saraab
Ye to mumkin nahin bachpan ka koi din mil jaye
Ya palat aaye koi sa’at-e-nayab-e-shabab
Phoot niklay kisi afsurdah tabassum se kiran
Ya damak utthay kisi dast-e-bureedah mein gulaab
Aah ! patthar ki lakeeren hain ke yaadon ke nuqoosh
Kaun likh sakta hai phir umr-e-guzishta ki kitab
Beetay lamhaat ke soay huay toofaanon mein
Tairtay phirtay hain phoot'ti hui aankhon ke habaab
Taabish rang-e-shafaq, aatish ru-e-khursheed
Mal ke chehray pe sahar aai hai khoon ahbaab
Janay kis mor pe, kis raah mein kya beeti hai
Kis se mumkin hai tamannaon ke zakhmon ka hisaab
Aasteenon ko pukaarain ge kahan tak aansu
Ab to daaman ko pakartay hain lahu ke gardaab
Dekhti phirti hai ek ek ka mun khamoshi
Janay kya baat hai sharminda hai andaaz-e-khitaab
Dar-ba-dar thokarain khaatay huay phirtay hain sawal
Aur mujrim ki tarah un se gurezan hain jawab
Sarkashi, phir main tujhay aaj sada detaa hoon
Main tera shaa’ir-e-aawara-o-be-baak-o-kharaab
Phenk phir jazba-e-betaab ke aalam pe kamand
Ek khwaab aur ay himmat-e-dushwaar pasand
Monday, January 13, 2014 | 0 comments | Labels:
Kabhi utro yun mery dil ke kachey aangan mein
Kisi udaas mausam mein
Kisi weeran lamhey mein
Chupkey sey
Dabey paoon
Meri aankhon par rakh do hath apney
Aur hanstey huay keh do
Boohj lo to
“HUM” tumharay
Na bhoojhey to
“TUM” hamaray ...
| 0 comments | Labels:
Kabhi Kabhi in habs bhari raton main
Jab
Sab awazain so jati hain
Aadhi neend ki ghayal madhoshi main
Ek Khwab anokha jaagta hai.....!
May daikhta hoon
Gard ki is chadar say udhar
Jo merey us kay beech tani hai
Woh bhi tanha jaag raha hai...

Amjad Islam Amjad
| 0 comments | Labels:
Yahan sab se alag sab se juda hona tha mujh ko
Magar kya ho gya hoon aur kya hona tha mujh ko

Abhi ik leher thi jis ko guzarna tha saron se
Abhi ik lafz tha main aur ada hona tha mujh ko

Phir us ko dhoondnay main umr sari beet jati
Koi apni hi gum gashta sada hona tha mujh ko

Pasand aaya kisi ko mera aandhi bun ke uthna
Kisi ki raaey main baad e saba hona tha mujh ko

Wahan se bhi guzar aaya hoon khamoshi se ab ke
Jahan ik shor ki soorat bapa hona tha mujh ko

Dar o deewar se itni mohabbat kis liye thi
Agar is qaid khanay se reha hona tha mujh ko

Main apni raakh se bay shak dobara sir uthata
Purani khenchli main hi naya hona tha mujh ko

Zafar, main ho gya kuch aur, werna asl main to
Bura hona tha mujh ko, ya bhala hona tha mujh ko
Friday, January 10, 2014 | 0 comments | Labels:
Umeed e aaqbat e kaar ke barabar hai
Yeh aik darakht keh deewar ke barabar hai

Zyada dur nahi amn o jung aapas main
Yeh faasla teri talwaar ke barabar hai

Tujhay khabar nahi yeh aik baar ka inkar
Hazaar baar ke iqraar ke barabar hai

Khuli hai aur koi gahak idhar nahi aata
Dukaan e khwab keh bazaar kay barabar hai

Ho is ke baad zamanon ka kya jisab kitab
Jab aik lamha lagataar ke barabar hai

Main is liye bhi zuban kholta nahi keh abhi
Sakoot hi yahan izhaar ke barabar hai

Hun itna bay sar o samaan keh is dafa mujh ko
Yeh berg e sabz bhi ashjaar ke barabar hai

Mujhay pasand hai jee jaan se yeh aib e sukhan
Jahan jahan meray mayaar ke barabar hai

Wohi paseena paseena hoon raat din ke Zafar
Hawa yahan meri raftaar ke barabar hai
| 0 comments | Labels: