Phirtay hain kab se dar ba dar ab is nagar ab us nagar
Ek dusare ke hamsafar main aur meri aavaargi
Na aashnaa her rahguzar na meharban hai ek nazar
Jaayen to ab jaayen kidhar main aur meri aavaargi
Ham bhi kabhi aabaad thay aise kahaan barbaad thay
Bay fikr thay aazaad thay masaruur thay dilshaad thay
Vo chaal aisi chal gayaa hum bujh gaye dil jal gayaa
Niklay jalaa ke apnaa ghar main aur meri aavaargi
Vo maah-vash vo maah-ru vo maah-e-kaamil huu_ba_huu
Theen jis ki baaten kuu_ba_kuu us se ajab thi guftaguu
Phir yuun huaa vo kho gai aur mujh ko zid si ho gai
Laayenge us ko dhuund kar main aur meri aavaargi
Ye dil hi thaa jo seh gayaa vo baat aisi kah gayaa
Kehne ko phir kya rah gaya ashkon ka darya beh gaya
Jab keh kar vo dilbar gaya tere liye main mar gayaa
Rotay hain us ko raat bhar main aur meri aavaargi
Ab Ghum uthaain kis liye ye dil jalaain kis liye
Aansuu bahaain kis liye yuun jaan gavaain kis liye
Pesha na ho jis kaa sitam dhooden ge ab aisaa sanam
Honge kahin to kaar_gar main aur meri aavaargi
Aasaar hain sab khoT ke imkaan hain sab choat ke
Ghar band hain sab koT ke ab Khatm hai sab ToTake.
Qismat kaa sab ye khel hai andher hi andher hai
Aise hue hain be_asar main aur meri aavaargi
Jab ham_dam-o-ham_raaz thaa tab aur hi andaaz thaa
Ab soz hai tab saaz thaa ab sharm hai tab naaz thaa
Ab mujh se ho to ho bhi kyaa hai saath vo to vo bhi kyaa
Ek behunar ek besabar main aur meri aavaargi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment