twitter

Mujhe vida kar
Aey meri zaat, phir mujhe vida kar
Woh log kya kahain gay , meri zaat
Log, jo hazaar saal se
Mere kalaam ko taras gaye

Mujhe vida kar
Main tere saath apne aap ke syaah GHaar main
Bohot panaah le chuka
Main apne haath paaon apne dil ki aag main
Tapa chuka

Mujhe vida kar
Ke aab-o-gul ke aanso'on ke aayinon
Ki be-sadaai sun sakoon
Hayaat-o-marg ka salaam-e-roostaai sun sakoon
Main roz-o-shab ke dast-o-pa ki narsaai sun sakoon

Mujhe vida kar

Bohot hi dair --- dair jaisi dair ho gayi
Ke ab ghaRi main beesveen saa'i ki raat baj chuki
Shajar hajar woh janwar
Wo taayraan-e-Khasta-par
Hazaar saal se jo haal main , zameen par

Mukalmay main jama hain
Wo kya kahenge, main khudaaaon ki tarah
Azl ke be-vafaaon ki tarah
Phir apne ahad-e-mansabi se phir gaya

Mujhe vida kar, ai meri zaat
Tu apne rozanon ke paas aake dekh le
Ke zahan-e-na tamaam ki Masahaton main phir

Haraas ki kHizaan ke barg-e-khushk yun bikhar gaye
Ke jaise shahar hast main
Ye nesti ki gard ki pukaar hon
Lahoo ke daldalon main haadson ke zamhareer utar gaye
Tu apne rauzanon ke paas aake dekh le
Ke mashraqi ufaq pe aareefon ke kHwaab-----kHwaab-e-qahwa rang main
Umeed ka guzar nahin
Ke maghrabi ufaq pe, marg noor pe kissi ki aankh tar nahi

Mujhe vida kar, magar na apne zeenoN se utar
Ke zeene jal rahe hain be-hushi ki aag main
Mujhe vida kar, magar na saans le
Ke shayaraan-e-nau tiri sada ke saham se dubak na jaa'en
Ke tu sada rasaalaton ka baar unn peh Daalti rahi
Ye baar inn ka haul hai
WoH dekh roshni ki doosri taraf
Khayaal, kaagHzon ki baaliyaan bane huay
Haroof bhaagtay huay
Tamaam apnayaap hi ko chaaT-tay huay
Jahaan zamana tez tez gaam-zan
Wahin zamana baaz apnay khel main magan
Jahaan peh baam-o-dar lapak rahe hain baaarishon ki simt
Aarzoo ki tishnagi liye
Wahin gumaan ke faasle hain raah-zan

Mujhe vida kar
Ke shahar ki faseel ke tamaam dar hain va abhi
Kahin wo log so na jaayen boriyon main rait ki tarah
Mujhe ai meri zaat, apne aap se
Nikal ke jaane de
Ke iss zabaan boorida ki pukaar, iss ki ha va hoo
Gali gali sunaai de
Ke shahar-e-nau ke log jaante haiN ( kaasa-e-gar sanki liye)
Keh un kay aab-o-naan ki jhalak hoon main
Ke unn ke tashtah baaghchon main

Apne vaqt ke dhulaaye haath se
Nay darakht ugaaoon ga
Main unn ke saim-o-zar se , unn ke jism -o-jaan se
Koltaar ke tahen haTaaoon ga
Tamaam sang parah haai baraf
Unn ke aastaan se main uThaaoon ga
Ke unn ke shahar-e-nau ke raaste tamaam band hain
Mujhe vida kar ke apne aap mein, main itne kHwaab ji chuka
Ke hausla nahi
main itni baar aap apne zakHm si chuka
Ke hausla nahin

Friday, December 21, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: