twitter

DIL aajab sheher tha
Is shehar mein aabadi thi
Hasnay aur bolnay ki kis qadar aazadi thi
Mousam e jabr mein bhi phool khila kertay thay
Sur khushbu ki terah log mila kertay thay
Dil shahanshah e muhabbat tha aur is kay atraaf
Kehkashaan raqs kiya kerti thi
Is kay aangan mein sitaroon sai bharay mousam ki
Silsalay waar kumak aati thi
Kashtiyaan is kay samander pay buhat nazaan theen
Nasha-e-vasl mein dubi hoii sarshaar hawa
Kaysay itrati hoii chalti thi
Kitnay bicchray howay qadmoon kay nishaan
Sahili rait kay daman mein kaheen, aanay waloon kay liay roshan thay
Haan yehi shaher tha jis mein mairay mehboob ghazaal
Aatay jatay howay aankhoon mein dhanak khainchtay thay

Ham say aawara hawa baat kiya kerti thi
Roshni dair talak saath raha kerti thi
Rang aur nasal ki phaili hoii khamoshi mein
Nanhay bachoon ki hansi geet buna kerti thi
Apnay hi bojh sai do lakht buhat thay phir bhi
Log becharay tahi dest buhat thay phir bhi
Kabhi halaat kabhi waqt kay thukra'i howay
Iski mitti sai koii taza ufaq khainchnay ko
Har naii subah kay aagaz peh ji uthtay thay
Ab guzartay hein jo is shehar kay sanatay say
Har taraf mout kay phailay howay vehshi sa'ye

Rasta kat'tay hein
Zindagi mangnay waloon ka laho chat'tay hein
Roktay hein hamein nadeeda sadaon kay hajoom
Tookti hein hamein ik khouf bhari tenhaii
Boltay hi nahi bachoo ki hasi mein woh najoom
Jo isi khak sai baidaar huwa kertay thay
Jugnu'on ki terah rastay mein raha kertay thay
Ab tehartay hein jo ujrri hoii galioon mein kabhi
Pooch laiti hai darichoon mein saji hairani
Tum woh hi ho na

Jo ratoon ko phira kertay thay
Aur hamein subah tak aabad rakha kertay thay
Kiya batain der o deewar ki veerani ko
Sunnay wala hi nahi nagma-e-girya koii
Rang hein kisi kay, chura ker koii lay jata hai
Fasal hai kis ki, utha ker koi lay jata hai
Janay kis aadal kay aasaib mein lipti hai faza
Haq kisi aur ka banta hai jatata hai koii
Faisla sakht hai ab ehl e musafat kay liay
Janta koii hai aur raah batata hai koii
Zindagi tang hai khud sakhta mehmanoo say
Ajnabi hath lataktay hein mairay shanoo say
Ghar kay ander der o deewar ki vehshat mein rahain
Ghar sai bahar kisi goli ka nishana ban jain
Boltay hein to zubaan kaat di jati hai yaahaan
Daikhtay hein to besarat sai manazir cheen liay jatay hein
Pa'oon mein halqa e zanjeer khincha jata hai
Hath uthta hai kay shanay sai kata jata hai
Saans laitay hein to barood ki bu aati hai
Baat kertay hein to lafzoon kay khazanay akser
Kabhi maani sai kabhi laab sai becchar jatay hein

Khwab hi khwab ki tabeer mein miltay hein yahaaN
Din ko aabad howay shaab ko ujar jatay hein
Wohi andoh e musafat wohi jagratay hein
HAM KEH MITTI SAI MUHABBAT KI SAZA PATAY HEIN
Jaisay ham raait peh tehreer howay hein keh hamein
Bad o baraaN jahaan ji chahay baha lay ja'ye
jaisay ham paair sai ham rishta nahi aur hawa
Khusk pattoon ki terah ham ko ura ker lay ja'ye
Jaisay is khak say nisbat hi nahi koii hamein
Aur manzar mein koii rang nahi hai ham say
Jaisay ham jurm ki padash mein hoon soay huay
Maar daitay hein usay jo bhi jagata hai hamein
Jaisay ham nara-e-tehseen hein deewaroon per
Koii likhta hai hamein koii mitata hai hamein
Sar salamat hai na destaar salamat hai koii
Amen kay naam pai ek seel e qiyammat hai koii

Phool bai rang howay aainay bai aab huay
Kaisay manzar thay in aankhoon mein jo nayab huay

Friday, December 21, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: