twitter

Hum raat bohot roay bohot aah-o-fughan ki
Dil dard say bojhal ho to phir neend kahan ki

Sir zanoo pe rakhay huay kia soch rahi ho
Kuch batain samajhti ho mohabbat zadgaan ki?

Tum meri taraf dekh ker chup ho si gain theen
Woh sa'at-e-khush waqt nishat-e-guzraan ki

Ik din yeh samajhtay thay keh payaan-e-tamanna
Ik raat hai mahtaab kay ayyam-e-jawan ki

Ab aur hi auqat hai aye jaan-e-tamanna
Hum nalah-kushan, bay-gunhan, ghum zadgaan ki

Is ghar ki khul chhut pe chamaktay huay taaron
Kehtay ho kabhi baat wahan ja kay yahan ki?

Bargashta hua hum say, yeh mahtaab to pyaro!
Bus baat suni, rah chala kahkashaan ki

Allah karay Meer ka jannat main makan ho
Merhoom nay baat hamari hi bayan ki

Perhtay hain shab-o-roz us shaks ki ghazalain
Ghazlain hain hakayaat hain hum dil zadgaan ki

Tum churkh-e-chaharam kay sitaray huay logo!
Taraaj karo zindagiyan ehl-e-jahan ki

Acha humain bantay huay, mit'tay huay dekho
Hum mauj-e-guraizaan hi sahi aab-e-rawan ki

Insha say milo, is say na rokain gay, wo lekin
Us say yeh mulaqaat nikali hai kahan ki?

Mashoor hai her bazm main us shaks ka sauda
Batain hain bohot shehr main badnaam miyan ki

Aye dosto aye dosto! aye dard naseebo!
Galiyon main chalo sair karain shehr-e-butaan ki

Hum jaaen kisi samt, kisi chok pe thehrain
Kahyo na koi baat kisi sood-o-zayan ki.

Insha ki ghazal sun lo, peh ranjoor na hona
Deewana hai deewanay nay ik baat bayan ki

Hota hai yehi ishq main hanjaar sabhi ka
Batain yehi dekhi hain mohabbat zadgaan ki

Monday, December 24, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: