Mera azm to tha buland tar isay haason nay mita diya
Main musafaton main bikhar gai, mujhay raaston nay ganwa diya
Teray saath chalnay ka hausla meri himmaton say guzar gaya
Main to pehlay hi thi shikasta paa, mujhay aandhiyon nay gira diya
Teray chehray per bhi to phool thay, teri aankhon main bhi to rung thay
Too nay phool bhi, too nay rung bhi, sabhi aanso'on main baga diya
Na main chhaon hoon, na main dhoop hoon, shikastagi ka wo roop hoon
Mera dil gaya, meri jaan gai, mujhay bijliyon nay gira diya
Too nay sau sitam bhi diye to kya, main nay seh liye teray naam per
Teray zulm ki hai yeh inteha, too nay dar say apnay utha diya
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment