twitter

Woh nazar say door to hain magar
Yeh ajeeb soorat e haal hay
Ham'ah waqt paish e nazar bhi hain
Na firaq hay na wasaal hay
Yeh tumhari talkh navaiaan
Koi aur seh k dikha to day
Yeh jo hum main, tum main nibah hay
Mere hoslay ka kamaal hay
Jo guzar rahi hay guzaar do
Na bura kaho na gila karo
Jo tumhara haal hay dosto
Wuhi saray shehar ka haal hay
Mai kahan say laaon wo roshni
Jo kisi k shehar mai lut gai
Wo kisi ka shehar bhi lut gia
Mujhay is ka aur malaal hay
Tere mushwaray k khloos per
Mujhay tark e ishq qabool hay
Magar aik baat hay hum-nasheen
Meri zindagi ka sawaal hay!!!!!!!

Friday, December 21, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: