Zindagi taiz, bohot taiz hawa ka jhonka
Jalti bujhti huee sham'ain hain mah-o-sal meray
Dhalta suraj meray maazi ki lehad ka katba
Raig-e-sehra ki lakirain hain khad-o-khal meray
Chaand meray tan-e-majrooh par sang-e-e'zaaz
Dhuup chhaun meray sad chaak libaday ka khiraj
Sab sitaray meri poshaak kay pewand-e-naheef
Meray aansoo mera wirsa meri aankhon ka mizaj
Mera chehra meray maqtool hunar ki tareekh
Meri aankhain meri dukhti huee raton kay charagh
Meray honton pay meri paay kay nohon ka hujoom
Meray seenay pay darakhshaan meri toheen kay daagh
Aaj ki shaam, keh her saal isi shaam kay saath
Meri ukhri hui sanson main girah lagti hai
Aasmaan waqt kay aanchal main dhanak bunta hai
Sari dharti tan-e-uryaan ki zirah lagti hai
Aaj ki shaam, keh her saal meray zakhm nawaz
Muskuratay huay kuch phool ata kertay hain
Kuch masiha meri khatir mera dil rakhnay ko
Khat main jeenay ki dua bhaij dia kertay hain
Saal ha saal guzarnay pe bhi aye dil zadgaan
Aaj ki shaam manatay huay dar lagta hai
Muskuratay huay chehron kay bhanwar hain laikin
Aakhri sham'aa jalatay huay dar lagta hai
Dil dharakta hai keh jalti hui shamon ka dhuwan
Shola-e-karb main tehleel na ho jaye kahin
Ji larazta hai keh manzar kay adhuray pan ki
Aaj ki shaam say takmeel na jaye kahin
Aao kuch dair ko ham zakhm shumari ker lain
Aur kuch dair main her shama pighal jaye gi
Aaj ki bazm main kho jain kahin so jain
Aaj ki shaam bhi kuch dair main dhal jaye gi
Jalti bujhti hui sham'on ka bharosa kia hai
Zindagi taiz bohot taiz hawa ka jhonka
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment