twitter

Tumhien jana zaroori hai
Chalo phir is tarah kar lo
Tum apney rastey ho lo
Naii manzil ko dhoondo tum
Naii dunya basao tum
Mujhey kuch dair rukna hai
Yhaan kuch kaam karney hain
Yhaan yaadien hain kuch meri
Wo kuch beetay huay lamhey
Wo aanchal sey girey they jo
Bikhar kar door tak
Mujhey paraishaan kar rahey hain jo
Unhien ik jaah karna hai
Khien par dafan karna hai
Mohabbat kii qabar par eik naya katba lagana hai
Phir is key baad mujh ko laut jana hai
Ab itney kaam hain jaanaa'n
Tumhen jadi hai tum jao
Mujhey kuch waqt lagna hai
Yeh maah o saal hon shayed
Yeh shayed hon kaii sadiyaa'n
To phir kab tak yhaan baithii raho gii tum
Jo jana hai to phir is mein
Marawat kii zaroorat kya ?
Mhabbat ab nahi tum ko
Takaluf kii zaroorat kya ?
Naya Sathii jo dhoondna hai
To phir meri zaroorat kya ??

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: