Gehri gehri aankhon wali
Uljhi uljhi pagal larki
Tu yeh kis ki dhun mein aakhir
Lambi lambi palkoon ooper
Motay motay aansoo lay kar
Sundar komal pairon neechay,
Julti balti dharti day ker
Qariya qariya bhaag rahi hai,
Kis ki khaatir jaag rahi hai
Tujh ko yeh maaloom nahi kya
Tujh jaisi najanay kitni
Gehri gehri aankhoon wali
Kaisi kaisi sundarta kay
Dhair khazanay lay kar nikleen
Lakin phir bhi us rastay say
Manzil tak pohchanay wala
Har ik saathi jhoota nikla
Ik ik aasha dushman nikli
Ik ik sapna dhoka nikla
Sachha har ik khadsha nikla
Dekho! Tum bhi janay do ab
Nadaani ka jitna rasta
Tum nay ab tak tay kar dala
Us rastay say ghar ki manzil
Ab bhi itni door nahi hai
Ab bhi wapis ja sakti ho
Sab kuch wapis pa sakti ho
Ab bhi agar tum nadani kay
Is rastay say ghar ko wapis na palti
To phir ik din aisa ho ga
Sundar aankhein mar jain gee
Palkein khoon se bhar jain gee
Jaan laboon par aa jaye gee
Tan kay saaray ujlay pan ko
Ghor musafat kha jaaye gee
Uss din phir tum chilaao gee
Lakin kuch haasil na ho ga
Saray lams ke bhookay saathi
Pankh laga kay urr jain gay
Tum rastay mein reh jaao gee
Rasta bhi woh keh jis kay peechay
Darr ki gehri dadal ho gee
Aagay gham ka jungle ho ga
Sar par gehra badal ho ga
Uss din kay aanay say pehlay
Uss din tak jaanay say pehlay
Waqat milay to dhalnay walay
Har lamhay ki zaat pay socho
Duniya ki bareek nazar say
Duniya ki har baat pay socho
Jazboon ki auqaat hi kiya hai
Jazboon ki auqaat pe socho
Woh dekho !!
Ik saaye par phir weeranay mein bijli karki
Gehri gehri aankhoon wali
Uljhi ulhji pagal larki.........!
Aas dil main nahi aankhon may koi pyas nahi
Chund yadoon kay siwa kuch bhi meray paas nahi
Zindagi hay keh lapakta hua shola hay koi
Jal bujha jis may meray dil ka haseen taaj mahal
Tujh ko apnanay ki khwahish tujhay paanay ki lagan
Ab hai jesay koi jhulsa hua be rang kanwal
Gard-e-alam say mamoor hein ab wo raahein
Jin say guzray thay kabhi saath hum hanstay hanstay
Zehr-e-tanhai bhi ab dil pe asar karta nahi
Thak gai gham ki syah raat bhi dastay dastay
Meri afsurda jawani pe amaavas ki yeh raat
Aur ta hadd-e-nazar aas ka jugnoo bhi nahi
Apni marhoom tamannaon pe maatam kay liye
Haif ab aankhon kay kashkool may aansoo bhi nahi
Apnay kaandhay pe liye apni tamannaon ki laash
Ghoomta phirta hoon aabadi main veeranay main
Koi aisa nahi jo rok lay itna poochay
Kon ho? Kis liye aawara ho? Kya dukh hay tumhein?
Sochta hoon mera jeena bhi koi jeena hay
Aik hi sur main jo bajta hay wahi saaz hoon main
Kho gaya hoon main gham-e-zeest kay sehraaon main
Mujh ko aawaz na do gum shuda aawaz hoon main
Aas dil main nahi aankhon may koi pyas nahi
Chund yadoon kay siwa kuch bhi meray paas nahi
Ussi ishq say, ussi chah say, ussi pyar say, ussi maan say
Mere hath main koi gulab do, main bohat dinon se udas hoon
Tumhari aankhain kehti hain hisar-e-zaat say niklo
Tamanna meri ban jao, shab-e-barbaad say niklo
Kinara thaam lo dil ka bhula do her gila shikwa
Kabhi sachi hansi hans do punari yaad say niklo
Khayal-e-yaar acha hai magar jis nay wafa na ki
Palat ker phir sada na do, dar-e-faryad say niklo
Nahin koi muhabbat bhi, jijr rut bhi, raqabat bhi
To yeh dharka sa kya, kahiye, wehem ki ghaat say niklo
Sukhanwer hum say kehta hai saja lo ankh main kuch khwab
Dharakna dil ko sikhla do, amaawas raat say niklo
Nahin tum ko gawara ab hamara qurb to keh do
Hamaray karb ki choro, tum is gardaab say niklo
Sar-e-maqtal jo jatay ho, na ho darmandgi kuch bhi
Zamana daikh tham jaye, kuch is andaas say niklo
Hum jo pohonchay sar-e-maqtal to yeh manzar daikha
Sab say uncha tha jo sar, nok-e-sina per daikha
Hum say mut pooch keh kab chaand ubharta hai yahan
Hum nay suraj bhi teray sheher maian aa ker daikha
Pyaas yaaron ko ab us morr pay lay aai hai
Rait chamki to yeh samjhay keh samandar daikha
Aisay liptay hain dar-o-baam say ab kay jaisay
Hadson nay
Zindagi bhar na hua khatm qayamat ka azaab
Hum nay her saans main barpa naya mehshar daikha
Itna bay-his keh pighalta hi na tha baton say
Aadmi tha keh tarasha hua patthar daikha
Dukh hi aisa tha keh roya tera Mohsin warna
Gham chhupa ker usay hanstay huay aksar daikha
Mujhey arzoo e seher rahi yunhi raat bhar bari dair tak
Na bikhar sake na simat sake yunhi raat bhar bari dair tak
Hai bohat azaab aur akaily hum, shab e gham bhi meri taweel tar
Rahi zindagi bhi saraab aur rahi aankh tar bari dair tak
Yahan har taraf hai ajeeb samaan, sabhi khud pasand, sabhi khud numa
Dil e be-qaraaar ko na mila koi chara gar bari dair tak
Mujhay zindagi hai aziz tar isi wastey mery hamsafar
Mujhay qatra qatra pila zehr, jo karey asar bari dair tak
Na sakoon e jaan na shreek e gham mila is jahan mein chaar su
Teri yaad thi meray saath jo rahi dar ba dar bari dair tak
Yahan shehar e dil bhi udaas hai aur ujaar ujaar si rah guzar
Rahey teray baad dhwaan dhwaan meray baam o dar bari dair tak












