twitter

Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
Jagmagati jaagti sarkooN peh aawara phriooN
Ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
Raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
Mere seene par magar chalti hui shamsheer si
Ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN

Yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
Jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
Aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
Jane kis ki goad meiN aai yeh moti ki laRi
Hook si seenay meiN uThi choat si dil per paRi
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
Phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
Yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
Har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
BaRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
Ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN

Raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
Laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
Aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
Ab bhi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
Per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
Un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
HaaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
Jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
Jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
Mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
Zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN *
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Jee meiN aata hei murda chaand taray noch looN
Iss kinare noch looN us kinare noch looN
Aik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
SekRoN Changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Sekron Sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
Taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
Koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

BaRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
Iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
Takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
Ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Monday, December 24, 2007 | 0 comments |

0 comments: