twitter

Tu is qadar mujhe apne qareeb lagta hai
Tujhe alag se jo sochuun, ajeeb lagta hai


Jisay na husn se matlab na ishq se sarokaar
Vo shaksh mujh ko bahut bad-nasiib lagta hai


Hudood-e-zaat se baahar nikal ke dekh zara
Na ko’ii Ghair, na ko’ii raqeeb lagta hai


Ye dosti, ye maraasim, ye chahatein ye khuluus
Kabhii kabhii ye sab kuch ajeeb lagta hai


Ufaq pe duur chamaktaa huvaa ko’ii taara
Mujhe charaagh-e-dayaar-e-habeeb lagta hai


Na jaane kab ko’ii tuufaan aaye ga yaaron
Buland mauj se saahil qareeb lagta hai

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: