twitter

Ab mehfil e ghazal mein ghazal aashna hai kaun?
Mana keh aik hum hain magar doosra hai kaun?

Qatil nay jab pukara keh ehl e wafa hai kaun?
Sab loag jab khamosh rahay bol utha hai kaun?

Tum apni anjuman ka zara jaeyza to lo
Kahnay ko to chiragh bohat thay, jala hai kaun?

Dava sukhan ka sab ko hai lekin tamaam umr
Ek dushman e sukhan se mukhatib raha hai kaun?

Sab dekhtay jidhar hain udhay kya hai, kuch nahi
Hum dekhtay jidhar hain udhar dekhta hai kuan?

Tasveer e maikada meri ghazlon mein dekhiye
Sanbhal raha hai kaun, nashay mein gira hai kaun

Main ek naqsh e paa hun magar main bataun ga
Is raah se jo guzra hai woh qaafla hai kaun

Sab dost aik aik kar kay mujhay chortay gaye
Dushman bhi dung hai ke ye tanha khara hai kaun

Ghar bhi tera, gali bhi teri, shehr bhi tera
Jo chahay jis ko kah day tujhe rokta hai kaun?

‘Aajiz’ ye kis se baat karo ho ghazal mein tum?
Parda uthao, hum bhi to dekhain chupa hai kaun?

Kaleem Ajiz
Thursday, August 27, 2015 | 0 comments | Labels:
Zameen kesi lagay gee, aasman kesa lagay ga
Hamare baad tumko yeh jahaan kaisa lagay ga

Thakay hary huay suraj ki bheegi roshni main
Hawaaon say ulajhta baadbaan kesa lagay ga

Jamay qadmon ke neechay phisalti jaey gee rait
Bikhar jaey gee jab umr-e-rawaan kesa lagay ga

Isi mitti main mil jaey gee poonji umr bhar ki
Giray gee jis ghari deewar-e-jaan kesa lagay ga

Bohat itra rahay ho dil ki bazi jeetnay par
Zeyan baad-az-zeyan baad-az-zeyan kesa lagay ga

Woh jis kay baad ho gee ek musalsal be-neyazi
Ghari bhar ka wo sab shor o fughan kesa lagay ga

Abhi se kya bataen marg-e-majnun ki khabar par
Sulook-e-kucha-e-na-mehrbaan kesa lagay ga

Batao to sahi aye jaan-e-jaan kaisa lagay ga
Sitaron se bhara ye aasman kaisa lagay ga

Iftikhar Arif
| 0 comments | Labels:
Dil girafta hi sahi, bazm saja li jaey
Yaad e janan se koi shaam na khali jaey

Rafta rafta yehi zindan mein badal jate hain
Ab kisi sheher ki bunyaad na daali jaey

Mushaf e rukh hai kisi ka keh beyaz e Hafiz
Aisay chehray say kabhi faal nikaali jaey

Wo murawwat se mila hai to jhuka dun gardan
Meray dushman ka koi waar na khaali jaey

Be-nawa sheher ka saya hai mere dil pe Faraz
Kis tarah say meri aashufta khayali jaey
| 0 comments | Labels:
Ajab junoon e musafat main ghar se nikla tha
Khabar nahin hai keh suraj kidhar se nikla tha

Ye kaun phir se unhin raaston main chor gya
Abhi abhi to azaab e safar se nikla tha

Yeh teer dil main magar be sabab nahi utra
Koi to harf lab e chaaraagar se nikla tha

Yeh ab jo aag bana sheher sheher phela hai
Yahi dhuaan meray deewar o dar se nikla tha

Main raat toot ke roya to chain se soya
Keh dil ka zeher meray chashm e tar se nikla tha

Ye ab jo sar hain khamida, kulah ki khatir
Ye aib bhi to hum ahl e hunar se nikla tha

Wo Qais ab jise majnun pukaarte hain ‘Faraz’
Teri tarah koi deewaanaa ghar se nikla tha

Ahmed Faraz
| 0 comments | Labels:
Bohat Farsooda Lagtay Hain Mujhay Ab Yar Ke Qissay
Gul-O-Gulzar Ki Batain, Lab-O-Rukhsar Ke Qissay

Yahan Sab Ke Muqdar Mein Faqat Zakham-e-Judai Hai
Sabhi Jhothy Fasanay Hain Wisal-e-Yar Ke Qissay

Bhala Ishq-o-Mohabbat Sey Kisi Ka Pait Bharta Hai
Suno Tum Ko Sunata Hoon Mein Karobar Ke Qissay

Meray Ahbab Kehtey Hain Yahi Ek Aib Hei Mujh Mein
Sar-e-Dewar Likhta Hoon Pas-e-Dewar Ke Qissay

Mein Aksar Is Lye Logon Se Ja Kar Khud Nai Milta
Wohi Bekar Ki Batain,Wohi Bekar Ke Qissay..!!!
| 0 comments | Labels:
Meray saal-e-guzashta
Teray daaman mein
Meray ashkon ki dolat hai
Meri aahon ke naghmay hein
Meri subhon ke saray rang
Aur mehjoor raaton ke
Kai bey faiz sapnay hein

Meray saal-e-guzashta
Tu ne apny roz-o-shab saray
Meri tanhaai bhi dekhi
Meri ruswaai bhi dekhi
Meray yaaron ke saray roop
Sab behroop bhi dekhay
Mujhy jalta hua dekha

Meray saal-e-guzashta
Mein ke sadiyon sey
Teray dast-e-duaa mein
Ghamkadon mein bain kartay
Sar bureeda harf rezon ki
Sinaan per lehlahaatay aanchlon ko
Daan kar paya

Meray saal-e-guzashta bol
Kiya shikwa karoon tujh say
Ke hasrat ke siwaa mein nay
Tumhaari saij per bethi
Nai umeed ki dulhan ko
Munh dikhlaai kya di hai
Bara dukh hai

Meray saal-e-guzashta aa
Dareeda daamani, maflooj lehjay
Aur mazi ke her ik ghaao ko
Mil ke dafan kartay hein
Meri aankhon mein umeedon ke laashay
Ab talak bay-gor bikhray hein
Mein aankhein band karta hoon

Meray saal-e-guzashta aa
Thakan aalood rasmon ko bhula dalein
Mein in maqhoor haathon ko uthata hoon
Teray daman mein koi khwaab baaqi hai
To woh mujh ko saza kar day
Meri bay aabroo sochon ko
Goyai ataa kar day

Meray saal-e-guzashta aa
Ke ab ik feslaa kar lein
Nai sooraj ke pehlay din
Koi sapna naya dekhain
Wagarna aakhri shab ko
Tumhaary hamqadam mein' bhi
Adam ko laut jaaun ga
| 0 comments | Labels: