twitter

Mujhay jo kuch bhi kehna tha abhi main keh nahi paya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahim aya

Abhi wo karb likhna hai jisay mehsoos karta hoon
Abhi wo khwab likhnay hain jo ankhon main paltay hain
Mujhay unko bhi likhna hai jinhain main dhoondh na paya
Abhi wo log likhnay hain jo kho kar haath maltay hain
Abhi wo ashk likhna hai kabhi jo beh nahi paya
Meri tehreer ki zad main abhi bhi kuch nahi aya

Abhi to mausmon ki shokhyan tehreer karni hain
Abhi yo phool kaliyan aur sehe-e-shabnam bhi likhni hai
Uthaanay hain abhi darya say mujhko pyas kay pehray
Abhi to khushk paiRon pay mujhay rim jhim bhi likhni hai
Kahin pe dhoop likhni hai kahin pe teergi chaya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aya

Abhi to mujh ko likhni hai kisi ki reshmi zulfain
Kisi ki surmagii palkain kisi ki ankh ka kajal
Kisi ka tootta badal kisi k pyar ki qasam
Kiski ki ankahi batain macha dain dil me jo hulchul
Abhi woh sub likhna hai jo mera ishq kehlaya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aya

Abhi to wo safar likhna hai jo darpaish hai mujhko
Abhi to tumko apni pyas ka sehra dikhana hai
Abhi to hijr ki likhni hain sari matmi raatain
Abhi to aisay lamhon ka bhi tumko lutf sunana hai
Keh jin say ashk ankhon main, magar iss dil ko behlaya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aya

Monday, December 24, 2007 | 0 comments |

0 comments: