Jo shajar sookh gayaa hai woh haraa kaisay ho
Main payambar to nahin, meraa kahaa kaisay ho
Dil kay har zarray peh hai naqsh mohabbat us ki
Noor Aankhoon kaa hai, Aankhoon say judaa kaisay ho
Jis ko jaanaa hi nahin, us ko khudaa kiyoon maanen
Aur jisay jaan chukay hain, woh khudaa kaisay ho
Umr saari to andhaeray maen nahin kat sakti
Ham agar dil na jalaa-aen to ziaa kaisay ho
Jis say do roz bhi khul kar na mulaaqaat hui
Mudattoon ba'ad milay bhi to gilaa kaisay ho
Kin nigaahoon say usay dekh rahaa hoon SHAFIQUE
Mujh ko ma'loom nahin, us ko pataa kaisay ho?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment