twitter

Yahien Rehtey hain Lekin Shehar Sey Naata Nahi koi
Parey hain Aisey goshey Mein Jidher Aata Nahi koi


Hamarey Dil Key Andhar Roz Eik Sooraj Utarta hai
Yeh wo Darya hai Jis Sey loat Kar jatta Nahi koi


Hamein Sab Shaakh Sey toota hua Patta Smajhtey hain
Bhatak jaien to hum Ko Raah Par Laata Nahii koi

Yhaan to Apney Kaantey Apney Haathon Chun-ney Partey hain
Yeh wo Bastii hai Jis Mein Phool Barsata Nahii koi

Sada e Baazgasht Aatii Nahi Ab Key Pahaaron Sey
Tujhey Aawaaz daita hon to dohraata Nahii koi

Jo Dekha hai Wo Aankhon Pey Yaqeen Karney Nahii Daita
Jo Socha hai wo Khud Ko Bhi Bata Paata Nahii koi


Meray Seenay Key Ander Kya koii Jadoo Kii Nagrii hai?
Sada Aatii hai Lekin Saamney Aata Nahi koi

Meray MOLA mujhey Phir Sey wohii Janat Atta Kar Dey
Zamana ho Gya hai mujh Ko Behkaata Nahii koi


Teray Ghar Ka Pata Maloom hai Meray Siwa Sab Ko
Kisi Ko Pooch Lo to Simat Batlaata Nahii koi


Mujhey Maloom hai too Sang-Dil hai Be-Maravat hai
Meray Dil Ko Magar Teray Siwa Bhaata Nahi koi


Agar Yeh Bhi Barasney Lag Parien to Mera Kya hoga?
Ghataaon Key Siwa Meray Sar Pey Chhaata Nahi koi


Kisi Ko Maal daita hai Kisi Ko Sabar daita hai
Sakhii tujh Sa Do Aalaam Mein Meray Daata Nahii koi


Zara Sii Baat Par "Shehzaad" dunya Choar Dii tum Ney
Arey Apney Kiye Par youn to Pachta-ta Nahii koi

Wednesday, December 12, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: