twitter

Main tanha hijr kay jungle kay gharon main
Jalati hoon sukhan kay wo diye jin ko
Abhi bahir ki zehreeli hawa'ain ajnabhi mehsoos kerti hain
Abhi yeh roshni jo such ki khushbu ki hifazat kay liye
Taarikiyon say lar rahi hai, na-shanasi kay
Ghubar aalood raston say guzarti hai
Abhi jugnoo shabon main apnay honay ki gawahi tuk nahin detay
Abhi to titliyan melay paron say dar badar phirti hain bechari
Abhi to chand bhi thandak nahin deta mohabbat ki
Abhi to raat kay shanon pe hain halaat ki zulfain
Mujhay maloon hai main janti hoon mujh ko rehna hai
Isi ghaar-e-aziyat main .... magar sun lo!
Yaheen say meray honton ko mila hai wasf-e-goyai
Yaheen say main nay such ki roshni khud main tari hai
Isi ghaar-e-aziyat nay meray lafzon ko aawazain ata ki hain
Yaheen say aik din sooraj nikalna hai wafaon ka
Yaheen say aik din harf-e-mohabbat bhi janam lay ga
Meray lafzon main ma'ani ka asar mehsoos kertay ho!
Meri aawaz suntay ho ... !

Wednesday, December 12, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: