twitter

Raat bhi roya hua
Dukh say main soya hua
Khaab main kia dekhta hoon
Maut say bhaga hua
Umr say jaga hua
Girta hoon her char qadam per aisay
Jis tarah zakhmi koi aahoo-e-laa-chaar sar-e-koocha-o-baazar
Sisakta hua takta hua
Bay rehem shikari ki taraf
Apnay hi aap main khoya hua
Apnay hi aap say main goya hua
Haaye beemari-e-dil, waaye laachaari-e-dil
Haaye sitam kari-e-aalam ka tasalsul keh zara
Saans lena bhi bara jurm hua
Bud naseebi ka jahan pehra hua
Sadiyon say main thehra hua
Rooh main jhankta hoon
Dekhta hoon, suntan hoon, kuch kehta hoon
Aur dukh hai keh faqat behra hua
Aur bhi kuch gehra hua
Khaab main kya dekhta hoon
Main jo ik sheher tha ab sehra hua

Saturday, December 15, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: