twitter

Kisi Khush Nigah See Ankh Nay Yeh Kamal Mujh Pay Karam Kiya
Meri Loh-e-Jaan Pay Raqam Kiya
Woh Jo Aaik Chand Sa Haraf Tha

Woh Jo Aaik Sham Sa Naam Tha
Woh Jo Aik Phool See Baat Phirti Thi Dar Ba Dar
Usay Gulistaan Ka Pata Diya
Maira Dil Keh Shaher-e-Milal Tha

Ussay Rooshni Main Basa Diya
Meri Ankh Aur Meray Khawab Ko Kisi Aik Pul Main
Bahum Kiya
Mairay Aainon Pay Jo Gard Thee Mah-o-Saal i
Woh Utar Gaiee
Woh Jo Dhund Thi Mairay Chaar Soo

Woh Bikhar Gaiee
Sabhi Roop Aks-e-Jamal Kay
Sabhi Khawab Sham-e-Visal Kay
Woh Jo Ghubar-e-Waqt Main

Sar Basar Thay Aatay Howay
Woh Chamak Uthay
Woh Jo Phool Rah Key Dhool Thay
Woh Mahek Uthay
Liay Saat Rang Bahar Kay
Chala Main Jo Sang Bahar Kay
Kisi Dast-e-Shobda Baaz Nay
Maiary Naam Par Mairay Wastay
Mairee Bay Gharee Ko Panah dee
Mairee Justajoo Koo Nishaan Diya
Joo Yaqeen Say Bhee Haseen Hai,

Mujhay Aik Aisa Guman Diya
Woh Joo Reeza Reeza Wajood Tha
Ussay Aik Nazar Main Bahum Kiya
Kisse Khush Nigah See Ankh Nay
Yeh Kamal Mujh Pay Karm Kiya

Saturday, December 8, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: