twitter

Bichar ke mujh se na zindagi bhar udas rehna Kaha thaa mein ne
Jo hosakay tu tamaam yaadain samait lena Kaha thaa mein ne


Phir aaj apni wafa ke daman mein zakhm lekar udas kyo ho
Muhabbaton ki ruttoon mein apna khayal rakhna Kaha thaa mein ne


Wohi huwa na, ke manziloo ko ganwa kar tanha bhatak rahe ho
Sambhal ke chalna, faraib dega har ek rasta Kaha thaa mein ne


Milain kuch aise zakhm bhi ghehray bichar ke jeena muhal thehray
Na itni shiddat se zindagi bhar kisi se milna Kaha thaa mein ne


Mein ab bhi nafrat ke zehar ugalti fiza mein tanha sulagh raha hon
Tumhare baad is nagar mein koi nahe hai apna Kaha thaa mein ne


Aur ab tu donoo hi apni apni wafa ke raizoo ko chun rahe hain
Zamaana pathar, tu pyar apna hai ek sheesha Kaha thaa mein ne


Bata ‘Tabassum’ jawab sun kar nazar kyo khamoshi se jhuka li
Gae dinoo ka kabhi na mujh se sawal karna Kaha thaa mein ne

Tuesday, December 11, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: