twitter

Faqat Jismon Kii Doorii Ko
Judaii Maan-Nay Walay
Mohabbat Kar To Laitay Hain
Mohabbat Ki Inhien Raahon Pe Chalna Par Nahien Aata
Bohet Raahon Mein Kaantay Hain
Bohet Dushwaar Hai Chalna
Judaii Aik Chaara Hai
Juda Rehna Bhi Mushkil Hai
Mohabbat Kar To Laitay Hain Magar Iqraar Mushkil Hai
Koii Dil Mein Jo Bas Jaye Bhulana Us Ko Mushkil Hai

Yeh Kya Samjhien
Keh Jisam O Jaan Kii Doorii Jisay Hum Hijr Kehtay Hain
Yahii Bunyaad E Mohabbat Hai
Kisi Key Hijr Mein Rehna
Kisi Ki Yaad Mein Khud Ko Bhula Daina Iabadat Hai
Judaii To Dillon Kii Dooriyon Ka Naam Hai Pyarey
Wo Gehrii Jheel Sii Aankhien
Jo Har Pal Mujh Sey Kehtii Hain
Mohabbat Sey Mehaktii Un-Kahii Khamosh Sii Baatien
Inhii Kay Dam Sey Hain Khush-Rang Sey Manzar
Khush Numa Lamhay
Mehaktay Phool Say Mausam, Chamaktii Chaand Sii Raatien

Magar Yeh Dil Kii Baatien Hain
Inhien Dil Hii Smajhta Hai
Inhien Hum Log Kya Jaanien
K Hum To Hijr Kay Maray
Ajab Sii Aarzoo Lay Kar Usay Yon Dhoondnay Niklien
Keh Mil Jaaye To Honton Par Sawalon Sa Jawabon Sa
Koii Bhi Harz Na Aaye
Keh Us Ko Samnay Paa Kar
To Khud Ko Bhool Jatay Hain
Na Dil Mein Dooriyon Ka Darr
Na Us Key Vasl Kii Khwaahish
Keh Hum To Hijr Kay Bey-Zaad E Safar
Bey Maal O Zar Koii Musafir Hain
Humien Rehnay Do Tum Yonhii
Humien Hai Hijr Mein Rehna

Tuesday, December 11, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: