twitter

Ye jeet-haar to is daur ka muqaddar hai
Ye daur jo ke puranaa nahin nayaa bhi nahin
Ye daur jo ke sazaa bhi nahin jazaa bhi nahin
Ye daur jiska ba-zaahir koi Khudaa bhi nahin

Tumhari jeet ah’m hai na meri haar ah’m
Ke ibtidaa bhi nahin hai ye intihaa bhi nahin
Shuru ma’arka-e-jaan abhi hua bhi nahin
Shuruu ho to ye hangaam-e-faislaa bhi nahin

Payaam zair-e-lab ab tak hai Suur-e-Israafiil
Sunaa kisi ne kisi ne abhi suna bhi nahin
Kiya kisi ne kise ne yaqin kiya bhi nahin
Uthaa zamin se koi, koi uthaa bhi nahin

Qadam-qadam par diye hain vo rahzanon ne fareb
Ke ab nigaah mein tauqeer-e-rahnuma bhi nahin
Use samajhte hain manzil jo raastaa bhi nahin
Vahaan lagaate hain Deraa jahaan vafaa bhi nahin

Ye kaarvaan hai to anjaam-e-kaarvaan maaluum
Ke ajnabi bhi nahin koi aashnaa bhi nahin
Kisi se Khush bhi nahin hai koi Khafaa bhi nahin
Kisi kaa haal koi mur ke puuchtaa bhi nahin

Sunday, December 9, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: