twitter

Aaj bazaar main pa-bajolan chalo

Chashm-e-nam, jaan-e-shoreeda kafi nahin
Tohmat-e-ishq-e-posheeda kafi nahin
Aaj bazar main paa-bajolan chalo

Dast afshan chalo, mast-o-raqsan chalo
Khak bar sar chalo, khoon badaman chalo
Rah takta hai sub shehr-e-janan chalo

Hakim-e-shehr bhi, majma-e-aam bhi
Teer-e-ilzam bhi, sang-e-dashnam bhi
Subh-e-nashaad bhi, roz-e-naakaam bhi

Un ka dum-saaz apnay siwa kaun hai
Shehr-e-janaan main ab baa-safa kaun hai
Dast-e-qatil kay shayan raha kaun hai

Rakht-e-dil bandh lo, dil-figaro.nchalo
Phir hameen qatl ho aa'ein yaro chalo

Saturday, December 8, 2007 | 0 comments | Labels:

0 comments: