twitter

Hum Jo Tootay To Is Tarah Tootay
Jaisay Haathon Se Girr ke Pathar Pe
Koi Shafaaf Aaina Tootay
Jaisay Palkon Se Toot'ta Aansoo
Jaisay Seeney Mein Ek Gum'aan Tootay
Jaisay Umeed Ki Nazuk Dali
Jaisay Aankhon Mein Khwaab Ki Dorri
Waqt e Taveel Mein Ulaj Jaiye
Jaisay Pairoun Talle Se Zameen Nikley
Jaisay Sir Pe Aasama Tootay
Jaisay Ek Shaakh Pe Bharosa Kiya
Is pe Jitney Thay Aashiyan Tootay
Jaisay Wehshat Se Hosh Aa Jaiye
Jaisay Ta-dair Mein Dehaan Tootay
"Kisney Dekha tha Tootna Apna
Hum Jo TooTay To RaiGaaN TooTay..."

Sunday, December 30, 2007 | 1 comments | Labels:

Bicharne walay
Chalay jo ho to bata k jao
Keh kitni shaamein udaas aankhon main kaatni hein
Keh kitni subhain akelay pan mein guzaarni hein
Bata k jao Keh kitne sooraj azaab rastoon ko dekhna hai
Keh kitne mehtaab sard raatoon ki wusaton se nikaalne hein
Bata k jao keh chaand raatoon mein waqt kaise guzaarna hai
Khamosh lamhoon mein tujh ko kitna pukaarna hai
Bata k jao keh kitne lamhay shumaar karne hein hijr raton ke
Keh kitne mousam aik aik kar k judaiyon mein guzaarne hein
Bata k jao keh panchiyon ne akele pan ka sabab jo poocha
Tou kaya kahoon ga?
Bata k jao ..main kis se tera gila karoon ga
Bichar kay tujh se habib..kis se mila karoon ga
Bata k jao keh aankh barsi to kon moti chuna karay ga
Udaas lamhon mein dil ki dharkan suna karay ga
Bata k jao k mousamon ko payam dene hein ya nahee hain
Fallk ko, taron ko, jugnu’on ko salam dene hein ya nahee hain
Bata k jao k kis pe hai aitebaar karna
To kis ki baaton pe be-niazi kay silsale ikhtiyar karna
Bata k jao k abb ravviyoon ki chaal kiya ho
Jawaab kiya ho, sawaal kiya ho
Arooj kiya ho, zawaal kiya ho
Nighah, rukhsaar, zulff, chehra ..nidhaal kiya ho
Bata k jao keh meri halat pe chandni khikhila pari to main kya karoon ga
Bata k jao k meri soorat pe teergi muskara parri tou
Main kiya karoon ga
Bata k jao k tum ko kitna pukaarna hai
Bicharr k tujh se ye waqt kaise guzaarna hai
Ujaarna hai? nikhaarna hai?
Chalay jo ho tou bata kay jao
kay loutna bhi hai ya................????????

| 0 comments | Labels:

Tujhe kia kahoon main aye zindagi, teray aik pal ki khabar nahi
Main yaqeen karoon bhi to kis tarhan, teri shab ki koi sehar nahi
Meri khawishoon ka ye silsila hai kahan talak ye khabar nahi
Ye safar saadii pay muheet hai, meri umar aik pehar nahi

Jahan aagahi k na jaal hoon, wahan wahshatoon k zikar nahi
Yahan aagahi bhi azab hai, tujhay Aah ye bhi khabar nahi
Main shumar-e-ghum karoon kis tarah, mere pass aisa hunar nahi
Mera aaj hai sitam aashna, mujhay kal say koi mafar nahi

Jahan do ghari ka sukoon milay, teri raah main woh shajar nahi
Main thakan say choor hoon is qadar, koi saya had-e-nazar nahi
Woh jo ashk-e-khoon say ho aashna, kaheen aisa deeda-e-tar nahi
Meray dil say barh k jala ho jo, yahan koi aisa jigar nahi

Teri kaj aadaiee sitam gari, koi ye batayea kidhar nahi
Tou hai baywafaiee ki dastaan, gila tujh say koi magar nahi
Tujhay chorna hai tou choor day, mujhay mout ka koi dar nahi
Woh andhair nagri hai gar koi, ye bhi rahaton ka dagar nahi.....!!

| 0 comments | Labels:

Udas hogaya safar
Khili hoi kali bhi ro pari lab-e-hisar-e-gham
Fishar-e-gham bata gaya
Khayal kham zindagi
Ye subha subha mout si
Ye sham sham zindagi
Ye bam bam zindagi
Khud aagahi ka shouq bhi hai
Dhiyaan main racha hua
Tou bayhisii ka ranj bhi
Naseeb main basa hua
Ye baybasi ye baybasi
Ye ashq ashq maykashi
Thathak thathak gaya sama
Khamoshiyan khamoshiyan
Kisi k rukh per ak pall bhi tiktiki
Na jam saki
Baras gai jo chashm-e-dill
Tou dill say bhi na tham saki
Shab-e-panah aaah main na jaany kab
Badal gai
Subuk subuk sadaye dill
Chanan chanan radaye dill
Hawa hawa khayal sab
Juda juda malal sab
Khuda khuda sawal sab
Kabhi tou shah zindagi kabhi ghulam zindagi
Ye subha subha mout si
Ye shaam shaam zindagi
Ye shaam shaam zindagi...........!!

| 0 comments | Labels:

Ab kia likhain hum khaghaz per
Ab likhnay ko kia baqi hai
Eik dil tha so wo toot gaya
Ab lautnay ko kia baqi hai
Eik sakhas ko hum ne chaha tha
Eik rait pe naksh banaya tha
Wo rait to kab ki bikhar chuki
Wo naksh kahan ab baqi hai
Ab kia likhain hum khaghaz per
Ab likhnay ko kia baqi hai

Jo sapnay hum ne dekhay thay
Kaghaz per saray likh daalay
Wo saaray kaghaz phir hum ne
Daria kay hawalay kar daalay
Wo saaray khwab baha daalay,
wo saaray naksh mita daalay
Ab zahan ha khali nakshoon ka,
koi khwab kahan ab baqi hai
Ab kia likhain hum khaghaz per
Ab likhnay ko kia baqi hai

Hum jinko apni nazmoon ka
unwaan banaya kartay thay
Lafzoon ka bana kar taj mahal
kaghaz per sajaya kartay thay
Wo hum ko akaila chor gaye
Sub rishtoon se monh moor gaye
Ab rastay saray soonay hain
Wo pyar kahan ab baqi hai
Ab kia likhain hum khaghaz per
Ab likhnay ko kia baqi hai ...!!!!

| 1 comments | Labels:

Apni soi hui dunya ko jaga loon to chaloon
Apne gham_khaney mein ik dhoom macha loon to chaloon
Aur ik jaam-e-may-e-talkh churhaa loon to chaloon
Abhi chalta hoon zara khud ko sambhaloon to chaloon

Jaane kab pi thi abhi tak hai may-e-gham ka khumaar
Dhundlaa dhundlaa sa nazar aata hai jahan-e-bedaar
Aandhiyan chalti hain dunya hui jati hai ghubaar
Aankh to mal loon zara hosh mein aa loon to chaloon

Wo mera saahir vo ejaaz kahan hai lana
Meri khoi hui aavaaz kahan hai lana
Mera toota hua vo saaz kahan hai lana
Ik zara geet bhi is saaz pe gaa loon to chaloon

Main thaka haraa tha itne mein jo aaye badal
Kisi matvaale ne chupke se badhaa di botal
Uff vo rangeen pur-israar Khayaalon ke mahal
Aise do char mahal aur bana loon to chaloon

Mughse kuch kehne ko ai hai mere dil ki jalan
kya kia maine zamane mai nahi jis ka chalan
Ansoo tum ne to kai baar bhigoya daman
Apne bheege huay daman ko sukhaloon to chaloon

Meri aankhon mein abhi tak hai muhabbat ka ghuroor
Mere honton ko abhi tak hai sadaaqat ka ghuroor
Mere maathe pe abhi tak hai sharaafat ka ghuroor
Aise vehmon se bhi ab Khud ko nikaloon to chaloon

| 0 comments | Labels:

Yaad Ki Rah Guzar Jis Pe Issi Sorat Se
Muddatein Beet Gaye Hain Tumhein Chaltey Chaltey
Khattam Ho Jaye To Do Char Qadam Aur Chalo
Morr Parta Hai Jahan Dasht-e-faramoshi Ka
Jis Se Agey Na Koi Mein Hoon Na Koi Tum Ho
Saans Thamein Hain Nigahein K Najaney Kis Dum
Tum Palat Aao, Guzar Jao, Ya Murr Ker Dekho
Gar Cheh Waqif Hain Nigahein K Ye Sab Dhoka Hia
Ger Kahin Tum Se Hum Agoosh Hoi Phir Se Nazar
Phoot Nikley Gi Wahan Aur Koi Rah Guzar
Phir Ussi Tarhaan Jahan Ho Ga Muqabil Paiham
Saaya-e-zulf Ka Aur Jumbish-e-bazoo Ka Safar
Dosri Baat Bhi Jhooti Hai K Dil Janta Hai
Yahan Koi Morr, Koi Dashr, Koi Ghaat Nahi
Jis K Pardey Mein Mera Mah-e-raavan Doob Sakey
Tum Se Chalti Rahey Ye Raah Yunhi Acha Hai
Tum Ne Murr Ker Bhi Na Dekha Tou Koi Baat Nahi

| 0 comments | Labels:

Mujhay yaad koi dua nahi, Meray humsafar abhi soach lay
Tu meri jabeen pay likha nahi, meray hum safar abhi soach lay

Abhi rasta bhi hai dhool main, abhi faida bhi hai bhool main
Abhi mujh ko tujh say gila nahi, meray hum safar abhi soach lay

Main janam janam say naraz hoon, main janam janam say udas hoon
Main kabhi bhi khul k hansa nahi, meray hum safar abhi soach lay

Tu hai khawab khawab pukarta, meri ankh main nahi ashk bhi
Main k mudatoon say jiya nahi, meray hum safar abhi soach lay

Tujhay khushboon ki hai arzoo, tujhay roshni ki hia justujoo
Main hawa nahi, main diya nahi, meray hum safar abhi soach lay

Tujhay ansoon ko pata nahi, tujhay rutjagoon ka gumaan nahi
Tujhay is say aagay pata nahi, meray hum safar abhi soach lay

Kaheen choot sakta hai darmiyaan, na zameen milay ge na aasmaan
Tujhay ra'asatoon ka pata nahi, meray hum safar abhi soach lay

Mujhay dhondta he phiray ga tu, na jiye ga roz maray ga tu
Main kabhi bhi ghar pay mila nahi, meray hum safar abhi soach lay

Kahoo ! Loutna hai kabhi yahan, mera dard sun meray meharbaan
Meray pass waqt zara nahi, meray hum safar abhi soach lay..............!!!

| 1 comments | Labels:

Phirtay hain kab se dar ba dar ab is nagar ab us nagar
Ek dusare ke hamsafar main aur meri aavaargi
Na aashnaa her rahguzar na meharban hai ek nazar
Jaayen to ab jaayen kidhar main aur meri aavaargi

Ham bhi kabhi aabaad thay aise kahaan barbaad thay
Bay fikr thay aazaad thay masaruur thay dilshaad thay
Vo chaal aisi chal gayaa hum bujh gaye dil jal gayaa
Niklay jalaa ke apnaa ghar main aur meri aavaargi

Vo maah-vash vo maah-ru vo maah-e-kaamil huu_ba_huu
Theen jis ki baaten kuu_ba_kuu us se ajab thi guftaguu
Phir yuun huaa vo kho gai aur mujh ko zid si ho gai
Laayenge us ko dhuund kar main aur meri aavaargi

Ye dil hi thaa jo seh gayaa vo baat aisi kah gayaa
Kehne ko phir kya rah gaya ashkon ka darya beh gaya
Jab keh kar vo dilbar gaya tere liye main mar gayaa
Rotay hain us ko raat bhar main aur meri aavaargi

Ab Ghum uthaain kis liye ye dil jalaain kis liye
Aansuu bahaain kis liye yuun jaan gavaain kis liye
Pesha na ho jis kaa sitam dhooden ge ab aisaa sanam
Honge kahin to kaar_gar main aur meri aavaargi

Aasaar hain sab khoT ke imkaan hain sab choat ke
Ghar band hain sab koT ke ab Khatm hai sab ToTake.
Qismat kaa sab ye khel hai andher hi andher hai
Aise hue hain be_asar main aur meri aavaargi

Jab ham_dam-o-ham_raaz thaa tab aur hi andaaz thaa
Ab soz hai tab saaz thaa ab sharm hai tab naaz thaa
Ab mujh se ho to ho bhi kyaa hai saath vo to vo bhi kyaa
Ek behunar ek besabar main aur meri aavaargi

| 0 comments | Labels:

Dunia ka bhi kuch bura tamasha nahi raha
Dil chahta tha jis terah waisa bhi nahi raha

Tum say millay bhi hum , judaaie kay Mor per
Kashti hoyee naseeb to darya nahi raha

Kehtay thay ik pal na jeeain gay tere baghair
Hum donoo reh gaye , woh wada nahi raha

Katay hain tere bad is terah roz -o-shab
Main saans lay raha tha per zinda nahi raha

Ankhain bhi daikh daikh k khuwab, aa gai hain tung
Dil main bhi ab woh shoq , woh lapka nahi raha

Kaysay milaain aankh kissi aainay say hum
Hamaray paas to ab chehra nahi raha !

| 0 comments | Labels:

Mussir hain log keh tujhay yaad main kia na karoon
Tu bay wafa hai to phir main bhi kia wafa na karoon?

Khuda to hota hi hai bay nayaz lekin
Khuda parast hoon main kesay khuda khuda na karoon

Gunah kehtay hain sub aarzoo-e-eeza ko
Sitam yeh dekhye ke beemar hoon, dawa na karoon

Sarapa chashm hoon, tujh ko na dekhoon yeh bandish
Sarapa gosh hoon phir bhi tuhay suna na karoon?

Ay meray zood faramosh bay basi hai lekin
Chalay jo bus to teray waday ka aasra na karoon

Khayal aur phir us ka khayal hai Sarwar
Sulagti aag hai magar dil say juda na karoon

| 0 comments | Labels:

Hazar dost meray, wajah-e-malal poochain gay
Sabab to sirf tumhi ho, main kya kahoon ga tumhain

Meri pasand, meray naam per na harf aaye
Bohot haseen, bohot bay wafa kahoon ga tumhain

Abhi say zehen main rakhna nazaakatain meri
Keh her nigah-e-karam per khafa kahoon ga tumhain

Qasam sharafat-e-fun ki keh ab ghazal main kabhi
Tumhara naam na loon ga, Saba kahoon ga tumhain

| 0 comments | Labels:

Zaalim tha vo aur zulm ki aadat bhi bohot thi
Majabur thay hum us se muhabbat bhi bohot thi

Us but kay sitam sah ke dikha hi diyaa hum ne
Go apani tabiyat main baghaavat bhi bohot thi

Vaaqif hi na thaa ramz-e-muhabbat se vo varna
Dil ke liye thori si inaayat bhi bohot thi

Yuun hi nahin mashhuur-e-zamana meraa qaatil
Us shakhs ko is fun main mahaarat bhi bohot thi

Kya daur-e-Ghazal tha ke lahu dil main bohut tha
Aur dil ko lahuu karane kii fursat bhi bohot thi

Har shaam sunaate thay haseenon ko Gazal hum
Jab maal bahut thaa to sakhaavat bhii bohot thi

Bulvaa ke hum 'Ajiz' ko pashemaan bhi bohot hain
Kyaa kijiye kum_bakht ki shohrat bhi bohot thi

| 0 comments | Labels:

Yehi nahin koi toofan meri talaash main hai
Keh mausam-e-ghum-e-janan meri talash main hai

Visaal rut hai magar dil ko aisa lagta hai
Sitara-e-shab-e-hijran meri talaash main hai

Main faislay kay waqt say guzar chuka hoon magar
Kisi ka deeda-e-hairaan meri talaash main hai

Yeh haqeen si aasoodgi bataati hai
Aik qarya-e-veeran meri talaash main hai

Main teergi main mohabbat ki kahani hoon
Koi charagh sa unwaan meri talaash main hai

Yeh kesa khaab tha dharka sa lag gaya dil ko
Keh aik shakhs pareeshan meri talaash main hai

| 0 comments | Labels:

Sheher-e-junoon main chul meri mehroomion ki raat
Us sheher main jahan teray khoon say hina banay

Yun raaigaan na jaye teri aah-e-neem-shub
Kuch jumbish-e-naseem banay, kuch dua banay

Is raat din ki gardish-e-baysood kay eewaz
Koi mehwar-e-fikr koi zaavia banay

Aik samt intaha-e-waqt say namood ho
Aik ghar deyar-e-deeda-o-dil say juda banay

Aik daastan-e-karb kum aamoz ki jagah
Teri hazeematon say koi waaqea banay

Too dhoondnay ko jaye tarapnay ki lazzatain
Tujh ko talash ho keh koi bay wafa banay

| 0 comments | Labels:

Isi liye to yeh shaamain ujarnay lagti hain
Keh lau berha kay hawaain sukarnay lagti hai

Yunhi nahin mujhay darya ko dekhnay say guraiz
Suna hai pani main shaklain bigarnay lagti hain

Isi liye to hawa apnay ghar nahin jati
Keh us kay baad yeh galyaan ujarnay lagti hain

Rahain khamosh to labon say khoon tapakta hai
Karain kalaam to khaalain udharnay lagti hain

Main kesay apna tawazun barqarar rakhoon
Qadam jamaoon to saansain ukharnay lagti hain

| 0 comments | Labels:

Zameen jalti hai aur aasmaan toot’ta hai
Magar guraiz kaain hum to maan toot’ta hai

Koi bhi kaam ho anjaam tuk nahin jata
Kisi kay dhyan main pal pal yeh dhyan toot’ta hai

Keh jesay matn main her lafz ki hai apni jagah
Jo aik fard katay, karwaan toot’ta hai

Agar yehi hai adalat aur aap hain munsif
Ajab nahin jo hamara bayan toot’ta hai

Wafa ke sheher kay rastay ajeeb hain Amjad
Her aik mor pe aik meherbaan toota hai

| 0 comments |

Lutf woh ishq mein paye hain ke jee janta hai
Ranj bhi aisay uthaye hain ke jee janta hai...

Jo zamane ke sitam hai woh zamana jane
Tu ne dil itne dukhaaye hain ke jee janta hai...

Muskurate hoe woh majmaa agiyar ke saath
Aaj youn bazm mein aaye hai hain ke jee janta hai...

Inhi qadmoN ne tumhare inhi qadmo ki qasam
Khaak mein itne milaye hain ke jee jaanta hai


Saadgi, bankpan, agmaaz, shararat, shokhi
Tu ne andaz woh paaye hain ke jee janta hai...

Kaaba-o-deer mein pathra gayi dono ankhein
Aisay jalwe nazar aaye hain ke jee janta hai...

Tum nahin jaante ab tak ye tumhare andaaz
Wo mere dil mein samaaye hain ke jee jaanta hai


Dosti mein teri, darparda hamare dushman
Is qadar apne paraye hain ke jee janta hai...

'Daag'-e-warafta ko hum aaj tere kooche se
Is tarah khainch ke laye hain ke jee janta hai.

| 0 comments | Labels:

Uss nay mujh say kaha
Mairay saathi!
Tum ko mujh saiy hay gillaa kia hay!
Kabhi fursat milaiy to yeh soacho
Manzilain kyun hain? Faaslay kia hain?
Apnay apnay safar pay niklay loag
Mushtarik raastoan parr chaltay hain
Hamrahii kay hisaar main jitnay
Dinn nikaltay, charaagh jaltay hain
Sabb kii aankhoan main jilmilaatay hain
Apni apni umeed kay darr o baam
Zindagi kai safar main miltay hain
Mustakil dard, aarzi aaraam!
Tum mairay hamsafar to ho laikin
Hum kaheein say bicharr bhi saktay hain
Dair tak ikk taweel rastay parr

Saath to ajnabii bhi chaltay hain!!!!

| 0 comments | Labels:

Khawab toot jatay hain
Bheer main zamanay ki

Hath choot jatay hain
Dost daar lahjoon main salwatain see partee hain
Ik zara see ranjish say
Shak ki zard tehni par, Phool bad-gumani kay
Is tarha say kihltay hain
Zindagi say pyaray bhi
Ajnabi say lagtay hain, Ghair ban kay miltay hain

Umr bhar ki chahat ko, Aasra naheen milta
Dasht-e-beyaqini main Rasta naheen milta

Kamashi kay waqfoon main
Baat toot jati hai, Aur sira naheen milta
Mazrat kay lafzoon ko raushni naheen miltee
Lazat-e-pazeerai, Phir kabhi naheen miltee

Phool rang wadoon ki
Manzilain sukarti hain
Rah murnay lagti hai
BeRukhi kay garay say, Bedili ki mitti say
Faslay ki eintoon say, Eint jurnay lagte hai
Khaak urnay lagtee hai

Khawab toot jatay hain
Wahmoon kay saye say, Umr bhar ki mehnat ko
Pal main toot jatay hain
Ik zara se ranjish say
sath choot jatay hain

Bheer main zamany ki
hath choot jatay hain
Khawaab toot jatay hain

| 0 comments | Labels:

Suna hey shehar walon sey mera tanha nahi badla
Keh wo aankhain nahi badleen keh wo paikar nahi badla

Haseen aankhon ko parhney ka abhi tak shoq hai mujhko
Mohabat main ujar kar bhi mera andar nahi badla

Main puthar sey hua heera mujhey aisa tarasha hey
Badal dala mujhey lekin mera aazer nahi badla

Main pehron sochta hon ye jo mujhko bhool bethi wo
Sabab najaney kia hoga , wo kuch keh kar nahi badla

Bhatakti sham sey kehna puraney dar dareechey hain
Akeli raat sey keh do hamara ghar nahi badla

Meri qismat ney jo likha zakham aakhir nahi badla
Faqat bazoo hi badley hain magar nashtar nahi badla

Ussey kehna shikasta zaat honey sey mohabat mar nahi jati
Aaiyney toot janey sey kabhi manzar nahi badla

Tumharey daieron main ik umrr sey mehv-e-gardish hoon
Mera markaz nahi badla mera mehver nahi badla

Meri jaan doob key ubhri hey meri sans bhi jeysey
Mera matam nahi badla mera mehshar nahi badla

Suna hey aaj bhi sab log ussey hi sajdah kartey hain
Jabeenain hi badlati hain magar wo darr nahi badla

Abhi tak apney lafzon sey wo baazi jeeta jata hey
Wohi andaz hain usskey ... mera shatir nahi badla

Monday, December 24, 2007 | 0 comments | Labels:

Yaadon ka ik jhonka aaya hum say milnay barson baad
Pehle itna roay nahin thay jitna roay barson baad

Lamha lamha ghar ujra hai, mushkil say ehsaas hua
Patthar aaye barson pehlay, sheeshay tootay barson baad

Aaaj hamari khaak pe dunya ronay dhonay bethi hai
Phool huay hain jaanay kesay itnay sastay barson baad

Bhool bhi jao kisne tora kesay tora kyun tora
Dhoond rahay ho kia galiyon main dil kay tukray barson baad

Dastak ki umeed lagaye kub tuk 'Qaisar' jeetay hum
kal ka wada kernay walay milnay aaye barson baad

| 0 comments | Labels:

Shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
Jagmagati jaagti sarkooN peh aawara phriooN
Ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
Raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
Mere seene par magar chalti hui shamsheer si
Ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN

Yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
Jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
Aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi
Jane kis ki goad meiN aai yeh moti ki laRi
Hook si seenay meiN uThi choat si dil per paRi
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
Phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
Yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Har taraf hei bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN
Har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
BaRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN
Ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN

Raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
Laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
Aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
Ab bhi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
Per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Jee meiN aata hei ab ahd-e-wafa bi toR dooN
Un ko paa sakta hooN yeh aasra bi chhoR dooN
HaaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bi toR dooN
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
Jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
Jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
Mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
Zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN *
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Jee meiN aata hei murda chaand taray noch looN
Iss kinare noch looN us kinare noch looN
Aik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
SekRoN Changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Sekron Sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

Le ke eik eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
Taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
Koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
Ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

BaRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
Iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
Takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
Ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

| 0 comments |

YuN maatmi sey libaas meiN koi aah-o-fughaaN hai aaj bhi
Jesey chahsm-e-ter meiN khaab koi pareshaaN hai aaj bhi

MeiN zindagi ki raah-guzar pe dar-badar hooN is liye
Ke mohabbatoN ke shehar meiN dil be'makaaN hai aaj bhi

Teri aarzu hai bohat magar meri pohaNch nahi hai is qadar
Meri khaahishoN ke waastey tu aasmaaN hai aaj bhi

MaiN tauheed ke har hisaab sey wesey to musalmaan hooN
Par tujhey poojney ki baat hey, to dil be'imaaN hai aaj bhi

Teri anjuman tera har karam, teri chahateiN to chhin gaeeN
Magar dard jo mera naseeb bana wo meharbaaN hai aaj bhi

Teri azyatoN ka sawaal hey to mujhey kal bhi zabt pe naaz tha
Tujhey kosney ki baat hey to dil be'zubaaN hai aaj bhi

Kabi dard had sey baRha bhi to meiN teri had sey baRha nahi
Meri to saaNs ki tasbeeyoN meiN ik tu hi rawaaN hai aaj bhi

So baadloN ke silsiley meri chatt pe baras kar chaley gaey
Par jala jala dhuwaaN dhuwaaN mera aashyaaN hai aaj bhi

Mujhey kal miley they kuch gulaab jo terey liye ye keh gaey
Ke terey intizar meiN sog'waar gulshan ka samaaN hai aaj bhi

| 0 comments | Labels:

Meray marnay k baad meri kahani likhna
Kesay berbaad hui meri ye jawani likhna

Ye bhi likhna usay intzar tha buhat
Aakhri saanson ki jab hoi rawani likhna

Aur kia kikhna hai mujay kuch yaad nahen
Aankhon main aaya buhat tha pani likhna

Jo piyar say khai theen qasmen us nay
Un qasmon ki kia hui mehrbani likhna

Ik main nahen hoon dunia main kanwal
Barbaad hui ishaq main jis ki jawani lkhna

Ye bhi lehkna ke mere hont hasi ko tarse
Kaisey barbad hoi meri jawani lehkna

Aur likhna k deta tha dua tujay ……
Haath baher thay kafan say nishani likhna

| 1 comments | Labels:

Hum nay jis raat teray hijr ki dehleez peh gham rakha hai
Chaand heran hua hai
Keh bhala kon chamakta hai ufaq kay us paar
Hans dia koi sitara, jo kabhi palkon per
Kehkashan chonk uthi
Kon kahan toot gira
Hum nay jis raat teri yaad ki dehleez peh veerani rakhi
Dard main lipti hui veerani
Aasman bol para
Kon hua itna udaas
Kis nay undoh ki baarat main hissa dala
Kis nay rangeen kia zakhmon ko
Hum nay jis raat teri aas ki dehleez peh qadam rakha
Kitnay murjhaye phool mehek uthay hain
Kitnay kumhlaye huay pair lehek uthay hain

| 0 comments | Labels:

Kal raat janay kia hua,
Kuch dair pehlay neend say
Kuch ashk milnay aa gai
Kuch khwab bhee tootay huay
Kuch loog bhee bhoolay huay
Kuch rasta bhatki hueeN
Kuch gerd main liptee hueeN
Kuch bay-tarah phaili hueeN
Kuch khaul main simti hueeN

Bairabt C soochain kai
Bhooli huee batain kai
Ik shaks kee yadain kai

Phir dair tak jaga raha
Sochoon main gum baitha raha
Ungli se thanday farsh per
Ik naam hee likhta raha

Kal raat bhee woh raat thee
Kuch dair pehlay neend say
Main dair tak rota raha

| 0 comments | Labels:

Meri zindagi bhi meri nahi ye hazaar khanon mai but gai
Mujhay ek muthi zameen day ye zameen kitni simat gai

Teri yaad aye to chup rahoon zara chup rahoon to ghazal kahoon
Ye ajab aag ki bail thi meray tan badan say lipat gai

Mujhay likhnay wala likhay bhi kya, mujhay parhnay wala parhay bhi kya
Jahan mera naam likha gya waheen roshnaye ulat gai

Na koi khushi na malal hai keh sabhi ka ek sa haal hai
Tery sukh kay din bhi guzar gaye meri gham ki raat bhi cut gai

Meri bund palkon pay toot kar koi phool raat bikhar gya
Mujhay siskio'n nay jaga diya meri kachi neend bhi uchut gai

| 2 comments | Labels:

Tujh say ab aur mohabbat nahin ki ja sakti
Khud ko itni bhi aziyat nahin di ja sakti

Jantay hain keh yaqeen toot raha hai dil per
Phir bhi ab turk-e-wehshat nahin ki ja sakti

Hubs ka sheher hai aur is main kisi bhi soorat
Saans lenay ki sahoolat nahin di ja sakti

Roshni kay liye darwaza khula rakhna hai
Shab say ab koi ijazat nahin li ja sakti

Ishq main hijr ka aazaar to day rakha hai
Is say burh ker to ray’aayat nahin di ja sakti.

| 0 comments | Labels:

Hum raat bohot roay bohot aah-o-fughan ki
Dil dard say bojhal ho to phir neend kahan ki

Sir zanoo pe rakhay huay kia soch rahi ho
Kuch batain samajhti ho mohabbat zadgaan ki?

Tum meri taraf dekh ker chup ho si gain theen
Woh sa'at-e-khush waqt nishat-e-guzraan ki

Ik din yeh samajhtay thay keh payaan-e-tamanna
Ik raat hai mahtaab kay ayyam-e-jawan ki

Ab aur hi auqat hai aye jaan-e-tamanna
Hum nalah-kushan, bay-gunhan, ghum zadgaan ki

Is ghar ki khul chhut pe chamaktay huay taaron
Kehtay ho kabhi baat wahan ja kay yahan ki?

Bargashta hua hum say, yeh mahtaab to pyaro!
Bus baat suni, rah chala kahkashaan ki

Allah karay Meer ka jannat main makan ho
Merhoom nay baat hamari hi bayan ki

Perhtay hain shab-o-roz us shaks ki ghazalain
Ghazlain hain hakayaat hain hum dil zadgaan ki

Tum churkh-e-chaharam kay sitaray huay logo!
Taraaj karo zindagiyan ehl-e-jahan ki

Acha humain bantay huay, mit'tay huay dekho
Hum mauj-e-guraizaan hi sahi aab-e-rawan ki

Insha say milo, is say na rokain gay, wo lekin
Us say yeh mulaqaat nikali hai kahan ki?

Mashoor hai her bazm main us shaks ka sauda
Batain hain bohot shehr main badnaam miyan ki

Aye dosto aye dosto! aye dard naseebo!
Galiyon main chalo sair karain shehr-e-butaan ki

Hum jaaen kisi samt, kisi chok pe thehrain
Kahyo na koi baat kisi sood-o-zayan ki.

Insha ki ghazal sun lo, peh ranjoor na hona
Deewana hai deewanay nay ik baat bayan ki

Hota hai yehi ishq main hanjaar sabhi ka
Batain yehi dekhi hain mohabbat zadgaan ki

| 0 comments | Labels:

Main girah mein bandh ke haadsat, nikal para tairee khoj mein
Kahin tar kol ki thi sadak jahan aag bant-ti dhoop thi
Kabhi kachi rah ki dhool mein jahan saans laina muhaal tha
Sir-e-rizm-e-jaa'n kabhi dil k dard say haar ker
Main to khanqaoo'n pay mangta phira man-natain
Kabhi raat raat basar duaoo'n main ho gaee
Kabhi qaaflay mairee aas k kisi dasht-e-yaas main kho gaey
Mara pairhan tha phata howa kahi'n gard gard atta howa
Main adhooray pan ke saraab main
Tujhay dhondta phira dar badar
Kisee ajnabi ke diyaar main
Koi dukh mila kisee mor pay,koi gham mila kisi chok main
Kisi rah guzar ke sakoot main koi dard aa ke dara giya
Kabhi chal para, kabhi ruk giya, kisi kashmakash ke ghubar mein
Mujhay kia mila tairay piyar mein
Main girah main bandh k haadsat
Kahi'n gum howa tairee khoj main!!

| 0 comments | Labels:

Judai dene wale tum se umeed-e-wafa kaisi
ta'aluq toot jaye jab
mohabbat rooth jaye jab
to phir rasm-e-dua kaisi
milan ki ilteja kaisi
bhanwar mein dolti kashtii pe saahil ki tamanna kya
ukhartay saans houn to zindagi ki arzoo bhi kya
jo manzil kho chuki ho uss ki phir se justuju bhi kyun
magar dil ne tumhein kis wastay se yaad rakha hai
tumhein kyun shairii mein aaj takk aabaad rakha hai
abhi tak main ne kyun khud ko buhut barbaad rakha hai
hawa k dosh per kyun nagma-e-faryaad rakha hai
judaii dene wale aashnaii ki qasam tum ko
tumhari bewafai, kaj-adaai ki qasam tum ko
mujhe itna bata dena
wafa ki chahton ki mash'alein kaise bhujate hain
nishaan kaise mitaate hain
bhulana ho jinhein unn ko bhala kaise bhulatay hain ... !!

| 0 comments | Labels:

Mohabbat seekh ker kerna.
K bin seekhe mohabbat ka safar dushwar hota hai.
Girebaan taar hota hai.
Kabhi inkar hota hai Kabhi iqrar hota hai.

Mohabbat seekh ker kerna..
K bin seekhe mhabbat to serabon ki kahani hai
Dukhon ke raj-dhani hi
Jo kal ban jaay ga baadal
ye dariya ka wo pani hai.

Mohabbat seekh ker kerna...
K bin seekhe mohabbat to azab-a-zindgi thehri
Sarab-a-zindgi thehri
Na ho takmil jis ki wo
Kitab-a-zindgi thehri.

ISI KHATIR TO KAHTA HOON KISI AUSTAD-A-KAMIL SE
MOHABBAT
SEEKH KER KERNA.

| 0 comments | Labels:
Akhri bar milo aisay keh jaltay huay dil
Rakh ho jain koi aur taqaza na karain
Chaak-e-wada na silay, Zakhm-e-tamanna na khilay
Saans hamwar rahay, shama ki lau tuk na hilay
Baatain bus itni keh lamhay unhain aa ker gin jaaen
Ankh uthaeye koi ummed to aankhain chin jaaen

Us mulaqat ka ab koi wehem nahin
Jis say aik aur mulaqat ki soorat niklay
Ab na heejan o junoon, na hikayat ka waqt
Ab na tajdeed-e-wafa ka na shikayat ka waqt
Lut gai shehr-e-hawadis main mata-e-alfaaz
Ab jo kehna hai to kesay koi noha kehyay
Aaj tak tum say rag-e-jaan kay kai rishtay thay
Kal say jo ho ga usay kaun sa rishta kehyay

Phir na dehkain gay aariz-o-rukhsaar milo
Matami hai dam-e-rukhsat, dar o dewaar milo
Phir na hum houn, na iqraar na inkaar, milo

Akhri baar milo!

Mustafa Zaidi


| 0 comments | Labels:

Suna ho ga bohat tum ne
Kaheen aankhon ki rim jhim
Kaheen palkon ki shabnam
Parha ho ga bohat tum ne
Kaheen lehjey ki barish
Kaheen sagar k ansu
Magar tum ne kabhi humdum
Kaheen dekhey? kaheen parkhey? kisi tehreer k ansu
Mujhe teri judai ne
Yehe meraj bakhshi hai
K main jo lafz likhta hoon
Wo sarey lafz rotey hain
K main jo hurf bunta hoon
Wo sarey ben kartey hain
Mere sang iss judai main
Mere alfaz rotey hain
Sabhe tahreef kartey hain
Meri tehreer ki lakin
Kabhi koi nahi sunta
Mere alfaz ki siski
Falak b jo hila daley
Mere lafzon main hain shamil
Ussi taseer k ansu
Kabhi dekho mere humdum
Meri tehreer k ansu

| 0 comments | Labels:

Mujhay jo kuch bhi kehna tha abhi main keh nahi paya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahim aya

Abhi wo karb likhna hai jisay mehsoos karta hoon
Abhi wo khwab likhnay hain jo ankhon main paltay hain
Mujhay unko bhi likhna hai jinhain main dhoondh na paya
Abhi wo log likhnay hain jo kho kar haath maltay hain
Abhi wo ashk likhna hai kabhi jo beh nahi paya
Meri tehreer ki zad main abhi bhi kuch nahi aya

Abhi to mausmon ki shokhyan tehreer karni hain
Abhi yo phool kaliyan aur sehe-e-shabnam bhi likhni hai
Uthaanay hain abhi darya say mujhko pyas kay pehray
Abhi to khushk paiRon pay mujhay rim jhim bhi likhni hai
Kahin pe dhoop likhni hai kahin pe teergi chaya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aya

Abhi to mujh ko likhni hai kisi ki reshmi zulfain
Kisi ki surmagii palkain kisi ki ankh ka kajal
Kisi ka tootta badal kisi k pyar ki qasam
Kiski ki ankahi batain macha dain dil me jo hulchul
Abhi woh sub likhna hai jo mera ishq kehlaya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aya

Abhi to wo safar likhna hai jo darpaish hai mujhko
Abhi to tumko apni pyas ka sehra dikhana hai
Abhi to hijr ki likhni hain sari matmi raatain
Abhi to aisay lamhon ka bhi tumko lutf sunana hai
Keh jin say ashk ankhon main, magar iss dil ko behlaya
Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aya

| 0 comments |

Agar sehra se guzro to mere sahir se keh dena
tumhari besabab doori mujhe aksar rulati hai !!
Mery Sahir Se Keh Dena
Musafir Aaj Tak Chup Hay
k Uss k Haath Mein Tum Ne
Jo Apna Haath Rakha Tha
Vo Ab Tak Yaad Karta Hay

Mery Sahir Se Keh Dena
k Sadion Ki Musafat Ne
Mery Pairoon Se Baandhi Hay
Thakan Ab k Baras Itni
k Apni Doobti Nabzoo Se Main Khayef Sa Rehta Hoon
Na Janay Kab Kahan Pe Umer Ki Yeh Dor Kat Jaye
Main Apnay Aur Tumhary Beech k In Fasloon Ko
Chand Saanson Ki Kami Se Haar Na Jaon
Bisat e Jaan Par Phaili Doorion k Bojh Ko Le Kar
Yunhi Mar Jaon

Mery Sahir Se Keh Dena
k Uss k Ishq k Tilsam Se Ab Tak Vo Nahi Niklay
K Jin Ko Uss Ki Aankhon Ne Faqat Ik Baar Dekha Tha

Mery Sahir Se Keh Dena
k Saray shehar Ko Mery
Yunhi Patthar Na Rehnay De
Mery Tilsam Kadon Mein Laut Kar Aaye
k Vo Patthar Tarastay Hain
Tumhari Chashm Ki Jumbish Unhein Ik Bar Phir Kar De
Kisi Zee Rooh Ki Manind

Mery Sahir Se Keh Dena
Bichad Kar Tum Jo Miltay Thy
To Yun Mehsoos Hota Tha
k Jaisay Marg k Dhundley Kinaroon Tak Pahunchaty Hi
Adhoora Kaam Koi Zindagi Ko Yaad Aa Jaye
Kaho Phir Se Chala Aaye
k Uss k Laut Aany Se
Hamari Doobti Nabzoo Ko Phir Se Saans Aa Jaye
Agar Sehra Se Guzro To
Mery sahir Se Keh Dena

Agar Jungle Se Guzro To
Mery Jugnoo Se Keh Dena
Tumhari Be Sabab Doori
Mujhay Aksar Rulati Hay
Meri Shaamein Andheri Hain
Meri Raatein b Teera Hain
Mery Sab Taaq Khali Hain
Meri Aankhein Sawali Hain

Mery Jugnoo Se Keh Dena
Muhabbat Aaj Tak Chup Hay
k Iss k Haath Mein Uss Ne
Jo Dehka Daagh Rakha Tha
Vo Ab Tak Baat Karta Hay

Mery Jugnoo Se Keh Dena
Mery Jazboon Ne Rahoon Mein
Moharein Rok Rakhi Hain
Inhein Azn e Safar De Do
Inhein Dil Se Guzarnay Do

Mery Jugnoo Se Keh Dena
Meri Aankhon Ko Qum Keh Do
Yeh Umroon Se Yunhi BeJaan Hain
Khuwaboon k Madfan Mein
Inhein Phir Se Jila De Do

Mery Jugnoo Se Keh Dena
Ghamoon Ne Raag Chera Hay
Aziyat Raqs Karti Hay
Meri Tanhayi Ka Charcha
Daroon e Zaat Phaila Hay

Mery Jugnoo Se Keh Dena
Faqat Uss Ki Kami Ne
Zindagi Mein Sog Rakha Hay
Mery Jugnoo Se Keh Dena
Kiun Jungle Mein Bhatakta Hay
Kiun Khud Ko Rok Rakha Hay
Tumhari Be Sabab Doori Mujhay Aksar Rulati Hay
Agar Jungle Se Guzro To
Mery Jugnoo Se Keh Dena
Agar Sehra Se Guzro To
Mery Sahir Se Keh Dena
Mery sahir Se Keh Dena...!!!

| 0 comments | Labels:

Ik khawab hai is khawab ko khona bhi nahin hai
Tabeer ke dhaagay main pirona bhi nahin hai

Lipta hua hai diL say kisi raaz ki surat
Wo shakhs keh jisko mera hona bhi nahin hai

Yeh ishq-o-muhabbat ki riwayat bhe ajab hai
Paaya nahi jis ko,usay khona bhi nahin hai

Jis shakhs ki khaatir tera yeh hal hua
Us ne tere mar janay pe rona bhi nahin hai

| 0 comments | Labels:

Ik din wo bohat pachtaye ga
jab lout kay wapis aye ga
Main holay holay bolon gi
Sab raaz is dil kay kholon gi
Yeh dunya aise basti hai
Her ankh say ansoo behta hai
Dukh dard kay maray loag yahan
Her ankh kay bikhray khawab yahan
Or rait bhari hai ankhon main
Main us say kahoon gi socho to
Gya waqat kahan say lao gay
Yeh baat samajh na pao gay
Behter tha jo lout kay na atay
Ab dil ko manana mushkil hai.

Saturday, December 22, 2007 | 0 comments | Labels:

Ab is main jhoot shaamil hai
Mohabbat mut kaho is ko
Imaarut dil ki girnay do
Taaluq toot jaaney do
Keh jo deewaar apney boojh se girney pe aa jaey
Diiey ki lau se is deewaar ko phir thaamna kaisa
Hawa ka saamna kaisa
Buhat kumzoor sa such hai
Isey ub bujh hi jaaney do
Mohabbat mut kaho is ko

Samjh lo surdiyoon ki dhoop jaisa such mohabbat hai
Panaah-e-zaat ki aagoosh main simtay huay such main
Ajub si surd mehri hai
Keh
Ju ThiThray howau lufzoon ko hidut nahi dey sakti
Sulagti raakh ko aatish ki shidut dey nahi sakti
Mager such bolna to hai
Andhera phailna to hai
Ab is se paishtur keh munjamid taareekiyaan utrain
Aur apne neelgoo'n honton ko si ker dhoop surma ki
Kisi ki bolti ankhoon mein chumkey aur mur jaey
Rutain weeraan kerjaey
Usey ub laut jaaney do
Mohabbat mut kaho is ko
Mohabbat mut kaho is ko

Ghanairay jungloon ke raastay ka such mohabbat hai
Sunehri ghaas pe soti howi pugdandiyoon ka such
Mujassam baankpun ashjaar se lipti howi badlain
Keh ju apni namo ki gungunaahut hi se durti hai
Dabay paaon guzarti hain
Inhi ki aajzi ka such mohabbat hai
Mager tehro zara soocho !
Ager yeh raastay pugdadiyaan
Mahaz harf-e-tasalli hon
Kisi ki muskuraahut hon
Kisi k door jaatay bhaagtay qudmoon ki aahat hon
Hawa ki sursuraahat hon
Ya aisa khwaab jis ko aakhirish aankhain bhula daalain
Ya aisa khut jisey likhain mager likh ker jala daalien
To phir aey hum nufs!
Yeh maan lo yeh such nahi kyun keh

Ab is main jhoot shaamil hai
MOHABBAT MUT KAHO IS KO

Friday, December 21, 2007 | 0 comments | Labels:

Phir bhi hai tum ko maseehaai ka dava dekho
Mujh ko dekho, meri mernay ki tamanna dekho

Jurm-e-nazaara pe kaun itni khushaamad kerta
Ab voh roothay hain lo aur tamasha dekho

Do hi din main woh baat hai na woh chah baat na pyaar
Hum nay pehlay hi yeh tum se na kahaa thaa dekho

Hum na kehtay thay banawat hi hai sara ghussa
Hans ke lo phir woh unhon nay hamain dekha dekho

Ghar se har waqt nikal aatay ho kholay huay baal
Shaam dekho na meri jaan saveraa dekho

Khana-e-jaan main namudaar hai ek paikar-e-noor
Hasarato aao rukh-e-yaar kaa jalvaa dekho

Mar mitay ham to kabhi yaad bhi tum ne na kiyaa
Ab muhabbat kaa na kerna kabhi daavaa dekho

Dosto tark-e-muhabbat ii naseehat hai fazool
Aur na maano to dil-e-zaar ko samjhaa dekho

Ab vo shokhi se ye kahtay hain sitamagar jo hain ham
Dil kisii aur se kuchh roz behlaa dekho

Havas-e-deed miti hai na mitay gi "Hasrat"
Dekhane ke liye chaaho unhain jitnaa dekho

| 0 comments | Labels:

Kabhi fursat mein aao to meri ek nazm se milna
Magar iss nazm ka dhaaga
Tumhaari yaad ka lehja badalte hi na jaane kyun ulajh kar TooT jata hai
Tabhi to iss ki satrain ja ba ja bikhri huwi hain
Koi takye ki shiknon me buhat TooTi huwi

Neendon ki ankhon main pari hai
Koi dehleez par ahaT ki baali kaan me daalay khari hai
Koi rukhsaar pay aansoo ki soorat jum gayi hai
Koi dil se labon tak aate aate tham gayi hai

Koi bookshelf me bechain haatho se uTha kar

Bin parhay rakhi kitabon me pari hai
Koi ehsaas ki ankhon me kankar ki tarah atki hui hai
Koi uss udh jaley cigarette me lipti reh gayi hai
Jisse jaane ki jaldi me piye bin ashtray me tum ne chota tha
Ziyan ki dhool ban kar paon se lipti hain kuch satrein
Kahin ek satr ke andar shikasta maan se bheegi huwi palkein pari hain
Kahin ek satr me wo chaand atka hai

Meray kamre ki khiRki se jisse tum dekh kar

Sheeshe se uljha choR aaye thay
Koi ek satr uss chaaye ki pyaali me pari ho gi
Piye jaane ke khaahish me jo table par hi rakhi reh gayi thi
Kahin ek satr me khaabon ka wo rasta bhi rakha hai

Main jiss par apni aankhein bhool aayi hoon
Kahin ek satr ke andar meri wo saans rakhi hai

Tumhaari be nishan masroofiyat ke bojh se

Jiss ko main ab tak ji nahi paayi
Koi ek satr shayed Daakiye ki cycle ki chain me uljhi huwi hai

Tumhaara khat liye bin iss saRak par kyun wo aata hai ???
Zara sa ghor se sunna
Receiver me tumhaare phone ke shayed meri awaz rakhi ho
Issay ab parcel kar do to main iss se bhi kuch

Bheegi huwi satrain bana loon gi
Abhi dil ki hathaili par bhi kuch satrein pari hain
Buhat nazuk hain , lafzon se chhuwa to TooT jaein gi
Koi in muntazir ankhon me rakhi hai

Jinhe tum apna keh kar bhool jaatay ho
Yahin ek satr ki ankhon me mera khaab rakha tha
Tumhaari berukhi ke paon se kuchla para hai

Mere iss khaab ka tawan kya do gay??
Suno!
Iss nazm ko unwaan kya do gay??

| 2 comments | Labels:

Bay shuk yeh biaz tumhari hai
Aur hum bhi tumharay hain .... Lekin!
Hum is per kuch nahin likhain gay
Hum likhain is per naam? Nahin!
Peghaam? Nahin!
Aashaar? Nahin!
Sarkaar? Nahin!
Hum is per kuch nahin likhain gay
Dil ka tumharay jo safha hai
Wo aaj jo bilkul saada hai
Us per bhi to likha tha hum nay
Aik naam, kabhi!
Peghaam, kabhi!
Aashaar, kabhi!
Sarkaar, kabhi!
Wo safha tum nay dho dhala
Wo safha bikul saada hai
Ab kaghaz kay us safhay ko
Kyun aagay la ker rakhti ho

Kyun naam, Payaam, Aashaar likhain
Hum to jo sarker likhain
Aik baar likhain
Hum is per kuch nahin likhain gay

| 2 comments | Labels:

Mujhe vida kar
Aey meri zaat, phir mujhe vida kar
Woh log kya kahain gay , meri zaat
Log, jo hazaar saal se
Mere kalaam ko taras gaye

Mujhe vida kar
Main tere saath apne aap ke syaah GHaar main
Bohot panaah le chuka
Main apne haath paaon apne dil ki aag main
Tapa chuka

Mujhe vida kar
Ke aab-o-gul ke aanso'on ke aayinon
Ki be-sadaai sun sakoon
Hayaat-o-marg ka salaam-e-roostaai sun sakoon
Main roz-o-shab ke dast-o-pa ki narsaai sun sakoon

Mujhe vida kar

Bohot hi dair --- dair jaisi dair ho gayi
Ke ab ghaRi main beesveen saa'i ki raat baj chuki
Shajar hajar woh janwar
Wo taayraan-e-Khasta-par
Hazaar saal se jo haal main , zameen par

Mukalmay main jama hain
Wo kya kahenge, main khudaaaon ki tarah
Azl ke be-vafaaon ki tarah
Phir apne ahad-e-mansabi se phir gaya

Mujhe vida kar, ai meri zaat
Tu apne rozanon ke paas aake dekh le
Ke zahan-e-na tamaam ki Masahaton main phir

Haraas ki kHizaan ke barg-e-khushk yun bikhar gaye
Ke jaise shahar hast main
Ye nesti ki gard ki pukaar hon
Lahoo ke daldalon main haadson ke zamhareer utar gaye
Tu apne rauzanon ke paas aake dekh le
Ke mashraqi ufaq pe aareefon ke kHwaab-----kHwaab-e-qahwa rang main
Umeed ka guzar nahin
Ke maghrabi ufaq pe, marg noor pe kissi ki aankh tar nahi

Mujhe vida kar, magar na apne zeenoN se utar
Ke zeene jal rahe hain be-hushi ki aag main
Mujhe vida kar, magar na saans le
Ke shayaraan-e-nau tiri sada ke saham se dubak na jaa'en
Ke tu sada rasaalaton ka baar unn peh Daalti rahi
Ye baar inn ka haul hai
WoH dekh roshni ki doosri taraf
Khayaal, kaagHzon ki baaliyaan bane huay
Haroof bhaagtay huay
Tamaam apnayaap hi ko chaaT-tay huay
Jahaan zamana tez tez gaam-zan
Wahin zamana baaz apnay khel main magan
Jahaan peh baam-o-dar lapak rahe hain baaarishon ki simt
Aarzoo ki tishnagi liye
Wahin gumaan ke faasle hain raah-zan

Mujhe vida kar
Ke shahar ki faseel ke tamaam dar hain va abhi
Kahin wo log so na jaayen boriyon main rait ki tarah
Mujhe ai meri zaat, apne aap se
Nikal ke jaane de
Ke iss zabaan boorida ki pukaar, iss ki ha va hoo
Gali gali sunaai de
Ke shahar-e-nau ke log jaante haiN ( kaasa-e-gar sanki liye)
Keh un kay aab-o-naan ki jhalak hoon main
Ke unn ke tashtah baaghchon main

Apne vaqt ke dhulaaye haath se
Nay darakht ugaaoon ga
Main unn ke saim-o-zar se , unn ke jism -o-jaan se
Koltaar ke tahen haTaaoon ga
Tamaam sang parah haai baraf
Unn ke aastaan se main uThaaoon ga
Ke unn ke shahar-e-nau ke raaste tamaam band hain
Mujhe vida kar ke apne aap mein, main itne kHwaab ji chuka
Ke hausla nahi
main itni baar aap apne zakHm si chuka
Ke hausla nahin

| 0 comments | Labels:

Dareecha hai dhanak ka aur ik badal ki chilman hai
Aur is chilman kay peechay chhup kay baithay
Kuch sitaray hain, sitaron ki
Nigaahon main ajab si aik uljhan hai
Woh hum ko daikhtay hain aur phir aapas main kehtay hain
"Yah manzar aasman ka tha yahan per kis tarah pohoncha !!
Zameen zadon ki qismat may yeh jannat kis tarah aai?"
Sitaron ki yeh hairani samajh main aanay wali hai
Keh aisa dilnasheen manzar kisi nay kam hi dekha hai
Hamaray darmiyan is waqt jo chahat ka mausam hai
Isay lafzoon may likhain to kitabain jhilmila uthain
Yeh tum ho meray pehlu main
Keh khawab taabeer ki surat may aaya hai ?
Yeh khiltay phool sa chehra
Jo apni muskurahat say jahan may roshni ker day
lahu may taazgi bhar day
Anokhi si koi khusboo keh aankhain band ho jain
Sukhaun ki jagmagahat say shagufay phoot'tay jain
Chupa kajal bhari aakhon may koi raaz ghahra hai
Boht nazdeek say daikhain to cheezain phail jati hain
So meray chaar su do jheel si aankhon ka phehra hai
Tumhay main kis tarah dekhoon !!!!

| 0 comments | Labels:

Chalo choro!!!
Mohabbat jhoot hai
Ehd-e-wafa ik shughal hai bay-kaar logon ka
Talab sookhey huay patton ka kay-ronaq jazeera hai
Khalish deemak zada aoraq per boseeda satron ka zakheera hai
Khumar_e_wasal
Tapti rait kay seenay pay urrtey badlon ki
Rai'igan bakhsish!
Ghubar_e_hijr sehra main sarabon say attey mausam ka khamyaza

Chalo choro!
Keh ab tak main andheron ki dhamak main saans ki zarbon pay
Chahat ki bina rakh ker safer kerti rahon gi
Mujhey ehsas hi kab tha
Keh tum mausamon kay perhan kay sath rung badlo gay!


Chalo choro!
Wo sarey khwab kachi bhurbhuri mitti kay bay-qeemat gharondey thay
Wo sarey zaiqey meri zaban per zakham bun ker jum gaye hon gay
Tumhari ungliyun ki narm poorain pathron per naam likhti theen mera lakin
Tumhari ungliyan tou adaatan yeh jurm kerti theen...!

Chalo choro!
Mera hona na hona ik baraber hai
Tum apney khaal-o-khad ko aainay main phir nikherney do,
Tum apni aankh ki basti main phir say ik nia mausam uterney do!
"Merey khwabon ko merney do"
Nai tasweer dekho
Phir nia maktoob likho
Phir naye mausam, naye lafzon say apna silsala jorro,
Merey mazi ki chahat ra'igan samjho
Meri yaadon say kachey rabtey torro....

Chalo choro....!!
Mohabbat jhoot hai
Ehd-e-wafa ik shughal hai bay-kaar logon ka

| 0 comments | Labels:

Abhi yeh zakhm taaza hai abhi kuch din guzarnay do
Abhi us baywafa ki yaad main dil ko behelnay do
Woh uski bay rukhi aur barf main lipta hua lehjaa
Chamaktay chand ki surat koi anjaan sa chehra
Woh meray pyar kay ehsaas ka toota hua lamha
Mujhay bikhree hoi yadon kay angan main jhulasnay do
Abhi yeh zakhm taaza hai abhi kuch din guzarnay do

Muhabbat aaj kal kay dor main aisi kahani hai
Koi kirdaar baqi hai na lafzoon main rawani hai
Hamaray pass ab guzray dinoon ki ik nishani hai
Yeh gham ki shaam hai is ko meray gher main uternay do
Abhi yeh zakhm taaza hai abhi kuch din guzarnay do

Abhi kuch din guzarnay do keh apnay app main aaoon
Mujhay tanha sulagnay do keh apnay app main aaoon
Mujhay pal pal bikhernay do keh apnay app main aaoon
Bhula kar yaad us ki khawab keh manzer badalnay do
Abhi yeh zakhm taaza hai abhi kuch din guzernay do

Bataya tha tumko chahat kuch nahin hoti
Yeh aisa dor hai jis main muhabbat kuch nahin hoti
Woh sab jhootay fasaanay thay haqeeqat kuch nahin hoti
Muhabbat daivtaa ki ab mujhay tauheen karnay do
Abhi yeh zakhm taaza hai abhi kuch din guzarnay do

| 0 comments | Labels:

Mohabat shairi her giz nahi hay

Theek kehtey hain

Mohabbat to kisi bay deep qabrustan ki
Boseeda si ik qaber per woh nassb kutba hay
Key jiss per saaf likha ho
Shaheed-e-raah-e-ulfat
Ashiq-e-nakam ka marqad

Mohabbat aik katba hay

Laga hota hay jo aksar
Kabhi layla kay marqad per
Kabhi majnoo ki hasrat per
Kabhi sohni kay matkay per
Kabhi ranjhay kay teeron per

Mohabbat aik katba hay
Kay jis per saaf likha ho .

Mohabbat maut ki aghoosh may sir rakh kay sona hay
Mohabbat dil pay lahaq roag hay
Taa umer rona hay
Mohabbat raat bhar ka jagna
Aur jaan khona hay

Mohabat arzoo-o- hasrat-o-arman-o-kuwahish ki
Kisi maydan may rakhee hui aik aysee mayyat hai
Kay jis ko kandha dayney kay liye
Koi nahi aata
Mager phir bhi
Laboon per her kisi insane kay rakha hay ye jumla

MUJHEY TUM SEY MUHABBAT HEY

Koi mujh say ager kah day
Mujhey tum say mohabbat hai
To dar jata hon may bayhad
Yeh dil main wehem aata hay

Kay ye izhar ka jumla
Mohabat ka yah ik katba

Phir kisi bay deep qabrustan ki
Boseeda si ik Qaber ki
Zeenat na ban jaey
Mohabbat ka yah kutba
Phir naee aafat na ban jaye
Wohee katba
Kay jiss per saaf likha ho

Shaheed-e- raah-e-ulfat
Ashiq-e-nakaam ka marqad

| 0 comments | Labels:

Sham samay ik oonchi seehriyon walay ghar kay angan mein
Chand ko utaray daikha hum nay, chand bhi kaysa? Poora chand

Insha jee in chahnay wali, daikhnay wali ankhoon nay
Mulkoon mulkon, shehroon shehroon, kaisa kaisa daikha chand

Har aik chand ke apni dhuja thi, har aik chand ka apna roop
Laykin aisa roshan roshan, hansta battain karta chaand ?

Dard ke tees tu uth'ti thee, par itni bhi , bharpor kabhi ?
Aaj say pehlay kab utra tha dil mein itna gehra chaand !

Hum nay tu kismat kay dar say jab paye andhayaray paye
Yeah bhi chand ka sapna ho ga, kaisa chand, kahaan ka chand ?

Insha jee duniya waloon mein bay sathi bay doost rahay
Jaisay taroon kay jhurmat mein tunha chand, akayla chand

In ka daman iss doulat say khali ka khaali hee raha
Warna tha duniya mein kitnay chandi chand aur soona chand

Jug kay charoon khooT mein ghooma, sailani hayraan howa
Iss basti kay, iss koochay kay, iss angan mein aisa chand ?

Ankhoon mein bhi chitwan mein bhi chand he chand jhalaktay hain
Chand hee teeka, chand hee jhoomar, chehra chand aur matha chand

Aik yeh chand nagar ka baasi jiss say door raha sunjoog
Warna iss duniya mein sab nay chaha chand aur paya chand

Anbar nay dharti par phaikee noor ke cheent udaas udaas
Aaj ke shab tu andhi shab thi, aaj kidhar say nikla chand ?

Insha je yeh aur nagar hai, iss basti ke reet yehi hai
Sab ke apni apni ankhain, sab ka apna apna chand

Apnay seenay kay mat'la par jo chamka woh chaand howa
Jis nay man kay andhyaaray mein aan kiya uj'yaara, chaand

Chanchal muskaati muskaati goori ka mukhra mehtaab
Path jhar kay paiRoon mein at'ka peela sa ik patta chand

Dukh ka darya sukh ka sagar iss kay dam say daikh liya
Hum ko apnay saath he lay kar dooba aur ubhra chaand

Jhuki jhuki palkoon kay neechay numnaaki ka naam na tha!
Yeah kanta jo humain chubha hai kaash tujhay bhi chubhta chand

Roshniyoon ke peeli kirchain, poorab pacham phail gaieen
Tu nay kis shay kay dhookay mein pathar pay day tapka chand

Hum nay tu dono ko daikha, dono he bay dard khathoor
Dharti walla, anbar walla, pehla chand aur dooja chand

Chand kissi ka ho nahi sakta, chand kissi ka hota hai ?
Chand ke khatir zind nahi kartay, aye mairay achay Insha chand

| 0 comments | Labels:

Agar main dur ho jaon
To palkon ko jhapak daina
Agar ansu koi giraay
Samajh jana keh wo hoon main

Hathaili saamnay rakhna
Keh sab aansuu giraay us main
Jo ruk jaye ga hounto per
Samajh jana keh wo hoon main

Kabhi jo chand ko daikho
To tum yun muskura dena
Keh phirr baadal bhi aajayee
Samajh jana keh woh hoon main

Jo chal jayee hawa thandi
To ankhain band ker laina
Jo jhonka taiz ho ssab say
Samajh jana keh wo hoon main

Jo zeeyada yaad aaon main
To tum ro laina jee bher ker
Agar hichki koi ayee
Samaj jana keh wo hoon main

Agar tum bholnaa chaho
Mujhay shayad bhula do tum
Magar jab saans aye gii
Samajh jana keh wo hoon main.....!!

| 0 comments | Labels:

Ik Baar Phir Kaho Zara

Ik bar phir kaho zara,
Keh meri sari kainaat
Teri ik nigah per nisar hay

Meri teera zindagi ka noor tu
Jannat-e-arzi, maiN rashk-e-hoor tu
Lazzat-e-jaan, rahat-e-qalb-e-hazeen
Ishrat-e-nazzara, mehvesh, mehjabeen

Ik bar phir kaho zara,
Keh too bohat haseen hay
Nigah main shabab ka khumar hay

Sharm kay parday main pinhaan shokhiyan
Muskurahat main nihaan hon bijliyan
Her ada teri mujhay merghoob hay
Dehr ki her cheese say mehboob hay

Ik bar phir kaho zara ,
Keh paiker-e-fani hay kya
Keh dil to teri rooh per nisar hay

Jism fani, husn bhi fani mera
Jazb-e-dil lekin hay lafani mera
Mard herjai hay her gul per nisar
Dil magar deti hay aurat aik bar
Ik bar phir kaho zara ,
Keh mujh ko ghair ka khayal
Tauba tauba sakht nagavar hay

Man vohi hoon, man badal sakti nahin
Doosray saanchay main dhal sakti nahin
Ab teri taiver, teray qaul aur hain
Man kahan ab qabil-e-ghaur aur hain
Ik bar phir kaho zara ,
Keh mera ishq Mehr aur maah
Say ziyada paidar hay

Meray sir ki jhooti qasmain kya hooin
Zahiri ulfat ki rasmain kya hooin
Girya-e-paihem vo uljhan kya hui
Aanch ki tezi vo dharkan kya hui
Ik bar phir kaho zara,
Keh mera ishq Ustuvar
Rooh say ziyada ustuvar hay

Baandh ker ehd-e-vafa torra to kya
Sheesha-e-dil torr ker jorra to kya
Sub samajhti hoon magar maazoor hoon
Dil ki iss feryaad say majboor hoon
Ik bar phir kaho zara,
Keh meri sari kainaat
Teri ik nigah per nisar hay

| 2 comments | Labels:

Darya kay beech aik naao hai
Ik Darya hai Darya k beech aik naoo hai
Aakash pe suraj ka, Jazboon ka taiz bhaaoo hai
Bachpan ki yaad kay panchi ne dil nagrii punkh bichaiy hain
Ik shokh samandar lehroon mein kirnon ka keheen paRaao hai
Ik Naoo hai
Darya kay beech aik naao hai

Aik dunya hai
Dunya kay phelay melay mein jeevan kay sakhat jhameley hain
Naao tufaan ki zaad mein hai Aur Mojh bhi rasta bhool gaei
Titlee kantoon pe jhool gaei Mazi ki yaad ki khanak
Hawa ab bi sahil rokti hai
Dil ka jis simt jhukao hai
Ik naoo hai
Darya k beech aik naao hai

Ik titlee hai
Titlee ki narm si khuwahish hai
Khuwahish kat bagh ki shakhioon mein chupkey se daira daala hai
Bachpan ki yaad kay panchi ko waqt ne piyaar se pala hai
AIk un dekhi manzil her pal us raang ko chooney nikli hai
Jisey lehroon ne Dhoya hai sab Mad-o-Jazar hai lamhoon ka
Sab waqt ka paich aur daao hai
Aik naao hai
Bay-aab Darya kay beech aaik naao hai

Aik lamha hai
Aik lamha hai Jisey waqt uraey jata hai
Ik lamha khuwahish ka lamha hai
Aik Lamha Zakham hai Ghaoo hai
Aik lamha Palak kinarey par aik lamha waqt kay dharey par
Lamhoon kay inhi jazeeroon mein gardaab, keheen kataao hain
Aik naao hai

Khaliq Maalik meray Khuda yeh dundh hawa
Yeh waqt kay dharey
Yeh Bhatakti Titlee kis ki hai ?
Daria k beech aik naao jo hai
Kis ki hai ?

| 0 comments | Labels:

Kabhi jo mujh ko talaash kerna
Tou chand raaton ki chandni main
Gul-e-chaman say sawal kerna
Udaas kiun ho??
Kyun oas-Qatron main apnay aanso
Chupaa rehay ho
Haseen mausam main kis ki yadoon main
Apnay dil ko jala rehay ho
Gul-e-chaman yeh sawal sun ker
Tumhari aamad ka haal sun ker
Kehay ga tum jis ko khoojtay ho
Woh in baharoon ki sari khushboo
Churaa kay abb ik nay chaman main
Mehek raha hay
Udaas ker kay yahan pay hum ko
Kisi chaman main chehek raha hay
Gul-e-chaman ka yeh haal sun ker
Tumhain lagay ga main baywafa hoon
Udaas kalioon ko choor ker main
Nai baharoon ko dhoondta hoon
Mager haqeeqat main is chaman kay
Tamaam phoolon ki khwahishon kaa
Aur in ki nakkam kavishoon ka
Haseen mousam ki barishoon ka
Naa meray dil per aser hua tha
Naa meray dil per aser hua hai
Main aaj bhi ik nay chaman main
Puranay qissay suna reha hoon
Joo mere chahat ka devtaa tha
Main aaj bhi us ko poojta hoon
Yaqeen nahi tou palat kay dekho
Waheen khara tha,waheen khara hoon

| 0 comments | Labels:

To kia ho ga?
Yehi ho ga kh tum mujh say bichar jao gi.
Jaisay rung say khusboo,
Badan say doar saansoun ki,
Garift-e-shaam say, naraz sooraj ki kiran aik damm bichar jaaiy.
Keh jaisay raat kay pichlay peher
Khuabeeda galiyoon,
Neem khuabeeda gharon may zal-zala aaiy,
To ek basti ujjar jaaiy!
Keh jaisay dhoop kay sehraa main..
Tashna lab, bathak'tay bhooltay bay-gharr parindon..
Sakht-jaan paiRon, bagoolon kay bhanvar main...
Apni chaaon baant'ta baadal, nucher jaiy!

To kia ho ga?

Yehi ho ga keh main tum say juda ho ker ..
Kaheen taqseem ho jaon ga.
Kai lamhon main bikher jaon ga.
Tanhai kay undhay ghaar ki teh main utter jaon ga.
Tum say rooth ker, khud say khufa ho ker!!

To kia ho ga?

Yehi ho ga ......
Na koi zal-zala hi aaiy ga.
Koi aankh nam ho gi,na sannata ...
Bichay ga shaher ki galion main.
Zulfain khol ker roay gi tanhai...
Na shaher dil figaraan main koi mehshar bapa ho ga_!

To kia ho ga?

Tumaharay saath ..
Apnay rung hon gay,
Roshni ho gi!!
Sitaray baant'tay khabon ka ....
Apna sil-sila ho ga!
Magar socho......,
Kisi tanha safar main..
Jab mairi awaaz kay bay-rabt rishton say..,
Tumahara saamna ho ga!

To kia ho ga??

| 0 comments | Labels:

Woh Bhi Kia log Thay Aasaan Theen Rahien jin Kii
Band Aankhien Kiye Ik Simat Mein Chalay Jatay Thay
Aql o Dil Khwaab O Haqeqat Kii Na Uljhan Na Khalish
Mukhtalif Jalway Nigahon Ko Behlatay Thay

Ishq Saada Bhi Tha Bekhud bhi Junoon Paisha Bhi
Husn Ko Apni Adaon Pey Hijaab Aata Tha
Phool Khiltay Thay To phoolon Mein Nasha hota Tha
Raat Dhalti Thi To Sheeshon Pey Shabab Aata Tha

Chandni Kaif-Asar rooh-Afza hoti Thi
Abr Aata Tha To Bad-Mast Bhe ho Jatay Thay
Din Mein ShoriSh Bhi hua Karti Thi Hangamay Bhi
Raat Ki goad Mein muun dhaanp Kat So Jatay Thay

Narm Rau Waqat Kay Dharay Pey Safeenay Thay Rawaan
Saahil O Behar Kay Aaieen Na Badaltay Thay Kabhi
Na Khudaon Pey Bharosa Tha Muqadar Pey Yaqeen
Chaadar e Aab Sey toofaan Na Ubaltay Thay Kabhi

Hum Ke toofanon Kay Paalay Bhi Sataye Bhi hain
Barq O Baaraan Mein Wo Hii Shamaien Jalaien Kaisay
Yeh Jo Aatish-Kada dunya Mein Bharak Utha Hai
Aanso'on Sey Usay Har Baar bujhaiyen Kaisay

Kar Diya Barq O Bukharaat Ney Mahshar Barpa
Apnay Daftaar Mein Lutaafat Kay Siwa kych Bhi Nahien
Ghir Gaye Waqt Ki Bay Reham Kasha-Kash Mein Magar
Paas Tehzeeb Ki Daulat K Siwa Kuch Bhi Nahien

Yeh AndhaiRa Yeh Talatum Yeh Hawaon Ka Kharosh
Is Mein Taron Kii Subuk Narm Ziyaan Kia Kartii
Talkhi e Zeest Sey Karwa hua Aashiq Ka Mizaaj
Nigaah e Yaar Kii Masoom Aada Kia Kartii

Safar Aasaan Tha Manzil Bhi Bari roshan Thii
Aaj Kis Darja Pur-Asraar hain Rahien Apnii
Kitnii Parchaiyaan Aati hain Tajalli Ban Kar
Kitnay Jalvon Sey Ulajhtii hain Nigahien Apnii

| 0 comments | Labels:

Ik basti thi dil walon ki
Jahan chand aur sooraj rehtay thay
Kuch sooraj mun ka pagal tha
Kuch chand bhi shokh chanchal tha
Basti basti phirtay thay
Har pal hunstay rehtay thay
Phir ik din donon rooth gaye
Aur saray sapnay toot gaye
Ab chand bhi us waqt aata hai
Sooraj jub so jata hai
Badal sab say kehtay hain
Sooraj uljha sa rehta hai
Chand kay saath sitaray hain
Par sooraj tanha rehta hai.

Ik basti thi dil walon ki.

| 0 comments | Labels:

Aansoan main muskurana parh raha hai
Kiya kiya baar uthaana parh raha hai
Log hanstey hain dekh kar yeah haalat
Ruki saansoan ko chalana parh raha hai

Aankhon main kuch piyaas rehney do
Choro humain udaas rehney do....

Dharkanain dil kee mangti hain mohabbat
Nazrain bhi har pal chahti hain mohabbat
Mera yaar lakin mujhko milta nahi hai
Yeah furqatain bhi ab sochti hain mohabbat

Millan ki dil main aass rehney do
Choro humain udaas rehney do....

Kissi kee humain ab zaroorat nahi hai
Ab chahney waloan se bhi ulfat nahi hai
Ishq k dukhoon ne hum ko pagal kiya hai
Haan keh diya zaib ab mohabbat nahi hai

Kuch yaadain magar hamarey pass rehney do
Choro humain udaas rehney do....

| 0 comments | Labels:

Kabhi yaad aao to is tarhaa
Keh lahoo kee saree tamazateiN
TumhaiN dhoop dhoop summait laiN
TumhaiN rung rung nikhaar dain
TumhaiN hurf hurf mein soch laiN

Kabi yaad aao to is tarhaa
Keh dil-o-nazar mein uttar sako
Kabhi hudd say jesay janoo berhay
To awaaz bunn kay bikhar sako

kabhi yaad aao to is tarhaa
Kabhi khul sako shab-e-wasl meiN
Kabhi khoon-e-dil meiN doar sako
Surr-e-raah guzar jo millo kabhi
Na theher sako na guzar sako
Mera dard phir say ghazal banay

Kabhi gungunnao to is tarhaa
Meray zakham phir say gulab hoaN

Kabhi muskurao to is tarhaa
Meri dharkaneiN be laraz utthaiN

Kabhi chot khao to is tarhaa
Jo nahiN to phir baray shauq say
Sabhi raabtay sabhi zaabtay
Kabhi dhoop chaaoan mein toare do

Na shikast-e-dil ka sitam saho
Na suno kisi ka azzab-e-jaaN
Na kissi say apni khalish kaho
Yuun he khush phiro yuun khush raho
Na ujjar sakain na sunwwar sakein

Kabi dil dukkhao to is tarhaa
Na simmat sakeiN na bikhar sakeiN

Kabi bhool jao to is tarhaa
Kisi taur jaan say guzar sakeiN

| 0 comments | Labels:

Shab-e-tanhaai mein sitaaron ka libaada orrhey
Teri yaadon ke jugnu sey chamakney lagtey hein
Aur dil pe cha jaata hey khud-farebi ka aisa aalam
Ke har taraf teri hi aamad ka samaan hota hey
Jesey kisi aavaaz ke dhoke mein koi murr kar dekhey
Jesey sehra mein saraabon ka gumaan hota hey

Shab-e-tanhaai mein dil ke nehaan-khaanon par
Guzrey lamhon ki shabnam si parrney lagti hey
Aur merey hawaas pe tu ho jati hey qaabiz aesey
Ke nazar besaakhta nakalti hey justuju mein teri
Jesey chaand kisi ko dhoondney ke leeye nikalta hey
Jesey koi baccha kisi khiloney ke leeye machalta hey

Shab-e-tanhaai mein be’cheniyon ke aalam mein
Dil apney aap sey hi baar baar ulajhta hey
Aur azyatein is tarha ho jaati hein gaalib mujh par
Ke dard ka toofaan har rag mein dorr jaataa hey
Jesey mojein saahilon ki haddein torr deti hein
Jisey dharrkanein dilon ka saath chorr deti hein

Shab-e-tanhaai mein aadat teri khushbu'on ki
Dil-e-na-kaam ko kuch aur sataaney lagti hey
Tab dhondney lagta hoon mein har su aanchal tera
Aur be-qaraari mein yun raahat si milney lagti hey
Jesey koi muflis zar ke khaab sey behal jaata hey
Jesey koi marney sey pehley zara deir ko sambhal jaata hey

Shab-e-tanhaai mein mosam teri rafaaqat ke
Ghup-andheron mein ujaaley sey bekheir detey hein
Gham-e-firaaq ki chaadar ko cheer detey hein
Aur dil ik lamhey ko ho jaata hey shaadaab aesey
Jesey chaand ka aks kisi jheel mein utar jaata hey
Jesey koi sookha peirr sabz patton sey bhar jaata hey

Shab-e-tanhaai mein mehak terey khayaalon ki
Merey tasavvur ka tavaaf sa karney lagti hey
Tab phir sey khilti hein umangon ki laakhon kalyan
Aur fasl-e-gul ki ye aamad aesey lagti hey
Jesey kisi dil-ruba ki aankh mein iqraar ka zahoor
Jesey kisi un-kahi si baat ka be-naam sa saroor

| 0 comments | Labels:

Hamain khabar hai tamam dukh hai….
Yeh zindagi ko aasmanon ki wus’satoon say
Hazar sadiyoon say mil raha rai… payam dukh rai
Jo karzar-e-zawaal hasti Ko, dhoop chaoon Ki
Ahatoon say chala raha hai… nizaam dukh hai
Sehar to ik mukhtasir sa ghum hai,
Taweel din ki hawailioon kay,
Jo rastoon main thehar gai hai
Wo shaam dukh hai, yeh shaam dukh hai
Kay iski sheh par kai dinoon say
Musafiran-e-abd ka aisay firaq asaar rastoon par
Safar to khair ik almiah hai, qayaam dukh hai
Hamain khabar hai, tamaam dukh hai
Yeh aas dukh hai, niraas dukh hai
Udasioon ka libaas dukh hai
Yeh tishnagi jo azaab bun kar thehar gai hai
Badan kay boseeda sahilon par
To iska ehd-e-dawaam dukh hai
Yeh shor karti hawa ka sara kharaam dukh hai
Hamain khabar hai tamaam dukh hai
Yeh tum muhabbat nibahtay ho,
To is muhabbat ka naam dukh hai
Yeh wasl mausam jo ik musalsal zaabta hai
To is rafaqat ka naam dukh hai
Aur aisi wehshat numa fiza main
Khamoosh rehna bhi ik saza hai
Magar kisi say kalaam dukh hai..
Hamain khabar hai.. tamaam dukh hai….

| 0 comments | Labels:

DIL aajab sheher tha
Is shehar mein aabadi thi
Hasnay aur bolnay ki kis qadar aazadi thi
Mousam e jabr mein bhi phool khila kertay thay
Sur khushbu ki terah log mila kertay thay
Dil shahanshah e muhabbat tha aur is kay atraaf
Kehkashaan raqs kiya kerti thi
Is kay aangan mein sitaroon sai bharay mousam ki
Silsalay waar kumak aati thi
Kashtiyaan is kay samander pay buhat nazaan theen
Nasha-e-vasl mein dubi hoii sarshaar hawa
Kaysay itrati hoii chalti thi
Kitnay bicchray howay qadmoon kay nishaan
Sahili rait kay daman mein kaheen, aanay waloon kay liay roshan thay
Haan yehi shaher tha jis mein mairay mehboob ghazaal
Aatay jatay howay aankhoon mein dhanak khainchtay thay

Ham say aawara hawa baat kiya kerti thi
Roshni dair talak saath raha kerti thi
Rang aur nasal ki phaili hoii khamoshi mein
Nanhay bachoon ki hansi geet buna kerti thi
Apnay hi bojh sai do lakht buhat thay phir bhi
Log becharay tahi dest buhat thay phir bhi
Kabhi halaat kabhi waqt kay thukra'i howay
Iski mitti sai koii taza ufaq khainchnay ko
Har naii subah kay aagaz peh ji uthtay thay
Ab guzartay hein jo is shehar kay sanatay say
Har taraf mout kay phailay howay vehshi sa'ye

Rasta kat'tay hein
Zindagi mangnay waloon ka laho chat'tay hein
Roktay hein hamein nadeeda sadaon kay hajoom
Tookti hein hamein ik khouf bhari tenhaii
Boltay hi nahi bachoo ki hasi mein woh najoom
Jo isi khak sai baidaar huwa kertay thay
Jugnu'on ki terah rastay mein raha kertay thay
Ab tehartay hein jo ujrri hoii galioon mein kabhi
Pooch laiti hai darichoon mein saji hairani
Tum woh hi ho na

Jo ratoon ko phira kertay thay
Aur hamein subah tak aabad rakha kertay thay
Kiya batain der o deewar ki veerani ko
Sunnay wala hi nahi nagma-e-girya koii
Rang hein kisi kay, chura ker koii lay jata hai
Fasal hai kis ki, utha ker koi lay jata hai
Janay kis aadal kay aasaib mein lipti hai faza
Haq kisi aur ka banta hai jatata hai koii
Faisla sakht hai ab ehl e musafat kay liay
Janta koii hai aur raah batata hai koii
Zindagi tang hai khud sakhta mehmanoo say
Ajnabi hath lataktay hein mairay shanoo say
Ghar kay ander der o deewar ki vehshat mein rahain
Ghar sai bahar kisi goli ka nishana ban jain
Boltay hein to zubaan kaat di jati hai yaahaan
Daikhtay hein to besarat sai manazir cheen liay jatay hein
Pa'oon mein halqa e zanjeer khincha jata hai
Hath uthta hai kay shanay sai kata jata hai
Saans laitay hein to barood ki bu aati hai
Baat kertay hein to lafzoon kay khazanay akser
Kabhi maani sai kabhi laab sai becchar jatay hein

Khwab hi khwab ki tabeer mein miltay hein yahaaN
Din ko aabad howay shaab ko ujar jatay hein
Wohi andoh e musafat wohi jagratay hein
HAM KEH MITTI SAI MUHABBAT KI SAZA PATAY HEIN
Jaisay ham raait peh tehreer howay hein keh hamein
Bad o baraaN jahaan ji chahay baha lay ja'ye
jaisay ham paair sai ham rishta nahi aur hawa
Khusk pattoon ki terah ham ko ura ker lay ja'ye
Jaisay is khak say nisbat hi nahi koii hamein
Aur manzar mein koii rang nahi hai ham say
Jaisay ham jurm ki padash mein hoon soay huay
Maar daitay hein usay jo bhi jagata hai hamein
Jaisay ham nara-e-tehseen hein deewaroon per
Koii likhta hai hamein koii mitata hai hamein
Sar salamat hai na destaar salamat hai koii
Amen kay naam pai ek seel e qiyammat hai koii

Phool bai rang howay aainay bai aab huay
Kaisay manzar thay in aankhoon mein jo nayab huay

| 0 comments | Labels: