twitter

Aey sarab hasraton ke, zara baat suntey jaana
Jo choor choor ho pehley usey aur kya sataana!


Ye taqdeer ki hein chaalein ke badli hui hey bazi
Jo mera chara’gar tha mein usi ka hoon nishana


Abhi tamheed hi suni thi ke bilak ke ro parra wo
Jo mein kehney ja raha tha wo tha asal fasaana


Honton pe kuch nahi hey, aansu-bhari hein aankhein
Lagta hey aaj us ney seekha hey naya bahaana


Jo agan tu ney di hey mein usi mein jal raha hoon
Mujhey door hi sey takna merey paas ab na aana


Ye udasiyon ki raatein chalo andherey mein hi kaatein
Jo chiraagh bujh chukey hein ab kya unhey jalaana


Ye dhanak mohabbaton ki merey paas ab na laao
Jo rang bigarr gaey hein unhey phir sey kya sajaana


Ye be’rukhi ke nashtar to mein kab sey seh raha hoon
Is baar tum milo to koi zakhm naya lagaana!

Thursday, October 2, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: