Kis tarah rokta hoon ashkoon ko
Kis tarah dil pe jabr karta hoon
Aaj bhi kaar zaar-e-hasti mein
Jab tere shehar se guzarta hoon
Dil bhi kartaa hai yaad chhup ke tujhe
Naam leti nahi zubaan tera..
Is qadar bhi nahin mujhe maloom
Kis muhalley mein hai makaan tera
Koun si shaakh-e-gul pe raqsaan hai
Raqs-e-firdaus, aashyaan tera
Jaaney kin vaadiyoon mein thehra hai
Ghairat-e-husn, karvaan tera
Kis se puchoon ga mein khabar teri
Koun batlaaye ga nishaan tera
Teri rusvaaiyoon se darta hoon
Jab tere shehar se guzarta hoon
Haal-e-dil bhi na keh saka garchay
To rahi muddaton qareeb mere
Kuch teri azmaton ka dar bhi tha
Kuch khayalat bhi thay ajeeb mere
Aakhir-e-kar woh ghari aayi
Yar war ho gaye raqeeb mere
Tu mujhe chor kar chali bhi gayi
Khair qismat meri naseeb mere
Aab main kiyon tujh se piyar karta hoon
Jab tere shehar say guzarta hoon
Wo zamana teri muhubat ka
Aik bholi hoi kahani hai
Tere koochay main umr bhar na gaye
Sari duniya ki khaak chani hai
Lazat-e-qurb ho keh zakhm-e-firaq
Jo bhi hai teri meharbani hai
Kis tammana say tujh ko chaha tha
kis muhabbat say har mani hai
Aapni qismat pay naz karta hoon
Jub tere shehar se guzarta hoon
Aaj bhi karzar-e-hasti main
To agar aik bar mil jaye
Kisi mehfil main saamna ho jaye
Ya sar-e-rahguzaar mil jaye
Aik nazar daikh lain mohabbat say
Aik lamhay ka pyar mil jaye
Chain aa jaye aarzoon ko
Hasraton ko qarar mil jaye
Jane kiya kiya khayal karta hoon
Jab tere shehar se guzarta hoon
Koi pursan-e-haal ho to kahon
Kesi aandhi chali hai tere baad
Din guzara hai kis tarha main nai
Raat kese dhali hai tere baad
Roz jeeta hon roz marta hoon
Jub tere shehar say guzarta hoon
Tujh se koi gila nahi mujh ko
Main tujhe bewafa nahin kehta
Tera milna khuab-o-khayal hua
Phir bhi na-aashna nahin kehta
Wo jo kehta tha muh ko awara
Main us ko bhi bura nahin kehta
Warna ik be nawa muhabbat main
Dil kay lutne pay kiya nahi kehta
Main to mushkil say aah bharta hoon
Jub tere shehar say guzarta hoon
0 comments:
Post a Comment