twitter

Kat he gai judai bhi kab yun hua ke mar gaye
Tere bhi din guzar gaye meray bhi din guzar gaye

Tu bhi kuch aur aur hai hum bhi kuch aur aur hain
Jane wo tu kidhar gaya jane wo hum kidhar gaye

Rahon main he mile they hum rahen nasib ban gain
Tu bhi na apne ghar gaya hum bhi na apnay ghar gaye

Wo bhi gubar-e-Khak tha hum bhi gubar-e-khak they
Wo bhi kaheen bikhar gaya hum bhi kaheen bikhar gaye

Koi kinar-e-ab-e-ju baitha hua hai sarnigun
Kashti kidhar chali gai jane kidhar bhanwar gaye

Tere liye chale the ham tere liye thehar gaye
Tu ne kaha to ji uthe tu ne kaha to mar gaye

Waqt he kuch judai ka itna tavil ho gaya
Dil mein tere firaq ke jitne the zakham bhar gaye

Barish-e-vasl wo huie sara gubar dhul gaya
Wo bhi nikhar nikhar gaya ham bhi nikhar nikhar gaye

Itne qarib ho gaye itne raqib ho gaye
Wo bhi Adeem dar gaya ham bhi Adeem dar gaye ....!

Monday, October 27, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: