Main tujhe bhool gayee, ye bhi nahin hai, lekin
Main tujhe yaad bhi har waqt nahin kar sakti
Zindagi kitni hamah-geer hai, kitni purshor
Sirf ashkon hi se daaman to nahin bhar sakti
Kaisay fitrat ke taqaazon se kinara kar loon
Kis tarah talkhi-e-zehraab gawaara kar loon
Zindagi kitni hamah-geer hai, kitni purshor
Main mohabbat ke taqazay bhi samajhtin hoon magar
Main haqiqat ke ishaare bhi to pehchaantin hoon
Main teri yaad mein khud apne se ghaafil ho jaaon
Masiwa apne kisi aur ko bhi janti hoon
Zindagi sirf tarana hi tarana to nahin
Kuchh haqiqat bhi hai ye mahaz fasana to nahin
Main haqiqat ke ishaare bhi to pahchaanti hoon
Sher-o-naghma mein guzarti hui rangin raaten
Kaun hoga jinhen naghmaat ka ehsas nahin
Talkhi-e-ghum bhi to ik Thos haqiqat hai magar
Kaun hai jisko haqiqat ka zara paas nahin
Yeh dharaktay huay dil aur yeh khanaktay hue saaz
Yeh mahaktay huay naghmaat, yeh bajti aawaz
Kaun hoga jisay naghmaat ka ehsaas nahin
Zindagi kitni hama-geer hai, kitni purshor
Aur iss shor mein naghmon ki haqiqat kitni
Main tujhe yaad kiye jaaoon yeh mumkin hai magar
Iss humah-geeri mein ik yaad ki fursat kitni
Kitnay dil-chasp hain, ulfat kay taraanay lekin
Kitnay rangeeN hai ye saada-se fasaanay lekin
Iss hamaH-geeri mein in sab ki haqiqat kitni?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment