twitter

Gaye dinon ka suragh lay ker kidhar say aya kidhar gaya wo
Ajeeb manoos ajnabi tha, mujhay to heraan ker gaya wo

Bus aik moti si chhub dikha ker, bus aik meethi si dhun suna ker
Sitara-e-shaam bun kay aya, barang-e-khaab-e-sahar gaya wo

Khushi ki rut ho ke ghum ka mausam, nazar usay dhoondti hai her dum
Wo boo-e-gul tha ke naghma-e-jaan, meray to dil main utar gaya wo

Na ab yaadon ka charhta darya, na fursaton ki udaas berkha
Yunhi zara si kasak hai dil main, jo zakm gehra tha bhar gaya wo

Kuch ab sambhalnay lagi hai jaan bhi, badal chala rung aasmaan bhi
Jo raat bhaari thi tul gai hai, jo din kaRaa tha guzar gaya wo

Shikasta paa rah main khara hoon, gaye dinon ko bula raha hoon
Jo qafla mera humsafar tha, misaal-e-gard-e-safar gaya wo

Hawas ki bunyad perna Theher, kisi bhi umeed ka gharonda
Chali zara si hawa mukhalif,. Ghubar bun kay bikhar gaya wo

Bus aik munzil hai bu-alhawas ki, hazar rastay hain ehl-e-dil kay
Yehi to farq hai us main mujh main, guzar gaya main Theher gaya wo

Wo mekaday ko jaganay wala, wo raat ki neend uranay wala
Yeh aaj kia us kay jee main aai ke shaam hotay hi ghar gaya wo

Wo jis kay shaanay pe haath rukh ker safar kia tu nay manzilon ka
Teri gali say najaanay kyun, aaj sur jhukaaye guzar gaya wo

Wo hijr ki raat ka sitara, wo hum-nafs, hum-sukhan hamara
Sada rahay us ka naam pyara, suna hai kul raat mer gaya wo

Wo raath ka benawa musafir, wo tera shaair, wo terra Nasir
Teri gali tuk to hum nay dekha tha, phir najanay kidhar gaya wo

Thursday, October 9, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: