twitter

Mai hoon jis makaan ki chhut talay
Mera ghar nahi
Tera naam darj hay jis jagah
Tera dar nahi


Tujhay yaad hay!
Tujhay yaad hay kisi shaam ham nay banaya tha
Kahin aik chota sa rait ghar
Usi rait say, usi rait par
(usi rait par
Jo thi raah mai kisi moj kay
Kabhi apnay honay kay dheyaan main
Kabhi mu’jizon kay gumaan mai)


Hamain ilm tha,
Hamain ilm tha keh woh rait-ghar
Jo thay muntazir kisi moj kay
Unhain toot jaanay say roknay ka khayaal amr-e-mahaal hay
Issi moj-o-raig kay khail say hi bahaal hay
Woh talaazma,
Wohi raabta, jissay maan-nay kay fishaar mai
Rah-e-aagahi kay saraab bhi
Sabhi khuwaab bhi
Issi aik lamha-e-mukhtasir kay hisaar mai hay ghira huwa
Khatt-e-raig bhi, kaff-e-aab bhi


Pay yay daastaan,
To thi tarjumaan, kisi khail ki
Ussi khail ki
Jissay khailtay hamain aa liya kisi raat nay
Ussi raat nay
Jissay apnay khoon say jawaan kiya
Meray shoq nay, teray saath nay
Kisi an-chuway say khayaal nay
Kisi door hoti si baat nay.


Tujhay yaad hay, mujhay yaad hay,
Woh jo baat ki barri dair tak
Meray haath say, teray haath nay!


Kahaan tha gumaan, kisay thi khabar!
Jo kaha tha shoq ki lehar nay
Jo likha tha rait ki loh par
Ussi aik shaam ka khail tha
Ussi aik pal ka jamaal tha
Ussi khail mai
Ussi shaam ko


Woh jo rait-ghar say bikhar gaey

Woh jo aik pal mai ujarr gaey
Meray khuwaab thay!
Teray khuwaab thay


Thursday, October 2, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: