twitter

Gali Main Dard Ke Purze Talash Karti Thi
Mere Khatoot ke Tukrre Talash Karti Thi

Bholaye Kon Azeeat Pasandiyan Usski
Khushi Ke Dhair Main Sadme Talash Karti Thi

Ajab Hijer Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot-Te Patte Talash Karti Thi

Qayam Karti Thi Wo Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udass Rooh Ke Goshay Talash Karti Thi

Tamam Raat Wo Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay Wo Lamhe Talash Karti Thi

Kuch Iss Liye Bhi Mere Ghar Se Uss Ko Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hi Payare Talash Karti Thi

Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijer Ke Harbe Talash Karti Thi

Tamam Raat Wo Zakhma Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Raaz Talash Karti Thi

Duayen Karti Thi Ujrre Huway Mazaron Per
Bari Ajeeb Sahare Talash Karti Thi

Mujhe To Aaj Bataya Hai Badlon Ne
Wo Laut Aane Ke Raaste Talash Karti Thi

Thursday, October 9, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: