Marnay Ka Tairay Gham Mian Irada Bhi Nahin Hai
Hai Ishq Magar Itna Ziada Bhi Nahin Hai
Hai Yun Keh Ebarat Key Zubaan or Hai Koi
Kaghaz Mairee Taqdeer Ka Sada Bhi Nahin Hai
Kyun Daikhtay Rehtay Hian Sitaroon Key Taraf Hum!
Jub Unn Say Moolaqat Ka Wada Bhi Nahin Hai
Kyun Rah Kay Manzar Main Ulajh Jaati Hain Ankhain!
Jub Dil Mian Koi or Irada Bhi Nahin Hai
Kyun Uss Key Taraf Daikh Kay Paoon Nahin Uthtay
Woh Shakhas Haseen Itna Ziada Bhi Nahin Hai
Kis More Pay Lay Aaya Humain Hijr e Musalsal!
Taa Hud e Nigah Vasl Ka Wada Bhi Nahin Hai
Pathar Key Tarah Sard Hai Kyun Ankh Kissee Ki!
Amjad Joo Bicharnay Ka Irada Bhi Nahin Hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment