twitter

Aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pe aa
Umr guzri tujhay dekhay huay, behlaye huay
Yaad hai?
Hum tujhay dil mantay thay
Teray her nukhray ki fermaish per
Aik jeewan ki tamannaon ki beenai say hum dekhtay thuktay hi na thay
Sochtay thay
Aik chota sa naya ghar
Mohabbat ki faza
Hum donon
Aur kisi baat per takyon say larai apni
Phir larai main kabhi hanstay huay ro perna
Aur kabhi rotay huay hans perna
Aur thuk haar key gir pernay ka masoom khush buksh khayal
Yaad hai?
Hum tujhay sukh jaantay thay
Raat hans perti thi bay sakhta dershan say teray
Din teri doori say ro perta tha
Yaad hai?
Hum tujhay jaan kehtay thay
Teri khamoshi say hum mer jatay
Teri aawaz say jee uthtay thay
Tujh ko choo lenay say ik zindagi aa jati thi sheryanon main
Thaam lenay say koi sheher sa bus jata tha weeranon main
Yaad hai?
Hum tujhay milnay kay liye
Waqt say pehlay pohonch jatay thay
Aur mulaqat kay baad
Hum bohot dair say ghar aatay to kehtay hamain kuch na kaho
Hum bohot dur say ghar aaye hain
Is qadar dur say aaye hain keh shaid hi koi aa paye
Yaad hai?
Hum tujhay bhagwan samajhtay thay magar kufr say dar jatay thay
Teray chin janay ka dar theek say rakhta tha musalmaan hamain
Aa kisi sham, kisi yaad ki dehleez pe aa
Teray bhoolay huay rastay pe liye phirta tha imaan hamain
Aur kehta tha pehchan hamain
Yaad hai?
Hum tujhay imaan kaha kertay thay

Monday, October 20, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: