twitter

Rahguzar, saaye, shajar, manzil dur, halqa-e-baam

Baam peh seena-e-mahtaab khula, aahista

Jis tarha kholay koi bund qaba, aahista

Halqa-e-baam talay, saayon ka thehra hua neel

Neel ki jheel

Jheel main chupkay say taera, kisi put’tay ka habab

Aik pal taera, chala, phoot gaya, aahista

Bohot aahista, bohot halka, khunk rang sharab

Meray sheeshay main dhala, aahista

Sheesha-o-jaam, suraahi, teray haathon kay gulaab

Jis tarha dur kisi khuab ka naqsh

Aap hi aap bana aur mita aahista

Dil nay dohraya koi harf-e-wafa aahista

Tun may kaha “aahista”

Chand nay jhuk kay kaha

“Aur zara aahista”

Saturday, October 25, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: