twitter

Kisi soorat musafat main kami honay nahin detay
Shajr bay dard hain chaon ghani honay nahin detay
Sahar hotay hi her janib dhowan sa phail jata hai
Yeh badal is nagar main roshni honay nahin detay
Woh roz-o-shab hamain ezaaz pe ezaaz detay hain
Ehsaas-e-zillat main kami honay nahin detay
Ta'aluq kuch bhi to qaim had-e-fasil to rehti hai
Woh hum say dosti ya dushmani honay nahin detay
Bujha detay hain jo jalta chamakta jaagta sooraj
Kisi ko raat ka ehsaas bhi honay nahin detay
Wo sail-tund-khoo hain barq ki soorat guzaray hain
Koi deewar rastay main khari honay nahin detay
Jala ker khaak ker detay hain jo taaza shagoofon ko
Woh sooraj main jahan main teergi honay nahin detay
Woh hum ko nit naye khaabon kay ainay dikhatay hain
magar umeed ki soorat-gari honay nahin detay
Usay janay nahin detay Shehzad hum taswur say
Kabhi weeran hum dil ki gali honay nahin detay

Thursday, October 9, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: