twitter

-->
Chalo phir aisa kertay hain
Zara tafheem kertay hain
Bnaam-e-adl-e-aadam rizq hum taqseem kertay hain
To tum saari hukoomat, shan-o-shaukat, tumkanat lay lo
Faza-e-behr-o-bur kay sub umoor-e-saltanat lay lo
Adaalat-e-husn-o-daulat, ikhtiyar-e-bay karan lay lo
Sipah-e-derbar-e-ishrat, iqtidaar-e-do jahan lay lo
Mujhay kuch herf day do, lafz day do
Aik qalam day do,
Zamaanay bhar ka gham day do,
Mujhay aik chashm-e-num day do,
Mujhay kuch khwab day do
Sungrazay, tulkhiyan day do
Dil-e-afsurda, khali ghar, qafas ki teeliyan day do
Magar do din ka qissa hai kamal-e-tamkanat janan
Saheefon ki riwayat hai zawal-e-saltanat janan
Aah!
Aik waqt aaye ga bhari dopeher main janan
Akailay tum kharay ho gay akailay sheher main janan
Meri jaan!
Aisay mausam main meray alfaaz bolain gay
Meray alfaaz kay jadoo dar-e-herut ko kholain gay
Main likhoon ga wo naghmay jo kabhi sochay nahin tum nay
Abhi kuch baal-o-par baqi hain jo nochay nahin tum nay
Kuch aisay ista'aray hain jo kabhi sochay nahi jatay
Main ugloon ga wo moti jo kabhi tolay nahi jatay
Meri nazmain jamal-e-mausam-e-jaan ko nikharain gi
Meri ghazalain tumharay husn ki zulfain sanwarain gi
Tumhain main husn doon ga
Aitabar-e-baykaran doon ga
Waqar-e-husn doon ga
Ikhtiyar-e-jism-jaan doon ga
Faza-e-naghma-o-gul main tumhain main zinda rakhoon ga
Hisaar-e-sheher-e-jaan main, tumhain main painda rakhoon ga
To janan aisa kertay hain
Zara tafheem kertay hain
Bnaam-e-adl-e-aadam rizq hum taqseem kertay hain
Saturday, October 11, 2008 | 1 comments | Labels:

1 comments:

  1. Anonymous
    January 8, 2010 at 4:17 AM

    One thing............!

    a pre-halucinated perception leads to Nothing. So need ur consideration.

    Shaijh